kahani
ik din us ne mere dil ke darvāze par dastak dī thī
aur mire ḳhvāboñ kī duniyā meñ armānoñ kā jashn huā thā
kaliyāñ mahkīñ phuul khile the
har sū ḳhushbū phail ga.ī thī
us ko dekhā dekh ke sochā
us jaisā is duniyā meñ shāyad koī aur na hogā
aisā paikar aisā chehra pahle kab dekhā thā maiñ ne
mar mar kī ik mūrat ko chalte-phirte dekh liyā thā
kitne samundar poshīda the āñkhoñ kī gahrā.ī meñ
kitnī bahāreñ khel rahī thiiñ us ke hasīñ ruḳhsāroñ par
ik din maiñ ne
us ke dil ke darvāze par dastak dī thī
pyaar huā thā
kaliyāñ chaTkīñ phuul khile the
har sū ḳhushbū phail ga.ī thī
ik din us ke darvāze par shahnā.ī bajī thī
anjān nagar kā ik shahzāda zartār qabā meñ aayā thā
us ko le kar duur gayā anjān nagar kā shahzāda
ik din maiñ ne us ko dekhā
vīrānī ke manzar the ab ḳhushk samundar āñkhoñ meñ
aur ḳhizāñ kā raqs thā us ke sūkhe hue ruḳhsāroñ par
logoñ se ahvāl sunā
anjān nagar kā shahzāda
us ko tanhā chhoḌ gayā thā
ek din us ne mere dil ke darwaze par dastak di thi
aur mere KHwabon ki duniya mein armanon ka jashn hua tha
kaliyan mahkin phul khile the
har su KHushbu phail gai thi
us ko dekha dekh ke socha
us jaisa is duniya mein shayad koi aur na hoga
aisa paikar aisa chehra pahle kab dekha tha main ne
mar mar ki ek murat ko chalte-phirte dekh liya tha
kitne samundar poshida the aankhon ki gahrai mein
kitni bahaaren khel rahi thin us ke hasin ruKHsaron par
ek din main ne
us ke dil ke darwaze par dastak di thi
pyar hua tha
kaliyan chaTkin phul khile the
har su KHushbu phail gai thi
ek din us ke darwaze par shahnai baji thi
anjaan nagar ka ek shahzada zartar qaba mein aaya tha
us ko le kar dur gaya anjaan nagar ka shahzada
ek din main ne us ko dekha
virani ke manzar the ab KHushk samundar aankhon mein
aur KHizan ka raqs tha us ke sukhe hue ruKHsaron par
logon se ahwal suna
anjaan nagar ka shahzada
us ko tanha chhoD gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.