kahani jo adhuri thi
ye kis ne aag hote roz-o-shab meñ
mujh ko maañ kah kar pukārā hai
ki jis kī pyaar meñ Duubī huī āvāz ne
har aag ko shabnam banāyā hai
ki ab rutba mujhe maañ kā dilāyā hai
mire bachche
maiñ terī muntazar
shāyad azal se thī
tire hī vāste shāyad maiñ jannat chhoḌ kar
duniyā meñ aa.ī thī
ki ab jo tujh ko paayā hai
mire jalte badan meñ māmtā kī chhāñv utrī hai
mire bachche
maiñ ab sahrā nahīñ
aisā shajar huuñ
jis ke saa.e meñ
faqat tū hī nahīñ
be-ḳhvāb merī zindagī bhī
bahut āsūdgī meñ kho ga.ī hai
kahānī jo adhūrī thī mukammal ho ga.ī hai
ye kis ne aag hote roz-o-shab mein
mujh ko man kah kar pukara hai
ki jis ki pyar mein Dubi hui aawaz ne
har aag ko shabnam banaya hai
ki ab rutba mujhe man ka dilaya hai
mere bachche
main teri muntazar
shayad azal se thi
tere hi waste shayad main jannat chhoD kar
duniya mein aai thi
ki ab jo tujh ko paya hai
mere jalte badan mein mamta ki chhanw utri hai
mere bachche
main ab sahra nahin
aisa shajar hun
jis ke sae mein
faqat tu hi nahin
be-KHwab meri zindagi bhi
bahut aasudgi mein kho gai hai
kahani jo adhuri thi mukammal ho gai hai
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 103)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.