kahani jo kho gai
merī kahānī raste meñ
jaane kahāñ pe kho ga.ī jī
dil meñ bahut sharminda huuñ
bhuul ye mujh se ho ga.ī jī
maiñ jab apne ghar se chalī
saḌak saḌak aur galī galī
kahīñ miThā.ī rakkhī thī
vahīñ baḌī sī makkhī thī
makkhī bolī bhin bhin bhin
jaao na tum T.v mujh bin
nāchūñgī aur gā.ūñgī
apne hunar dikhlā.ūñgī
maiñ ne kahā kyā gāogī
bīmārī phailāogī
makkhī uḌ ga.ī jaldī se
maiñ bhī muḌ ga.ī jaldī se
moḌ pe chiḌiyā baiThī thī
merā rasta taktī thī
kahne lagī vo chuuñ chuuñ chuuñ
maiñ bhī tumhāre saath chalūñ
nāchūñgī aur gā.ūñgī
apne hunar dikhlā.ūñgī
paas hī chiiñ chiiñ hone lagī
baby chiḌiyā rone lagī
maiñ ne kahā is ko bahlāo
daal kā daana le ke jaao
uḌ ga.ī kah ke jā.ūñ jā.ūñ
billī bolī myā.un myā.un
nāchūñgī aur gā.ūñgī
apne hunar dikhlā.ūñgī
maiñ us se katrāne lagī
bas yūñhī samjhāne lagī
chūhe agar sun pā.eñge
kaisā mazāq uḌā.eñge
billī ko chūhe yaad aa.e
us ne panje lahrā.e
panje meñ uljhā ġhubbāra
sāmne thā ik favvāra
favvāre ke paas vahāñ
munnū ke bhaa.ī chunnū miyāñ
god meñ jo the aayā kī
kyā jāneñ vo chālākī
aaj hameñ bhī le ke chalo
television station ko
maiñ ne un ko toffē dī
unhoñ ne mujh ko muāfī dī
phir maiñ aa.ī aap ke paas
nahīñ kahānī mere paas
merī kahānī raste meñ
jaane kahāñ pe kho ga.ī jī
dil meñ bahut sharminda huuñ
bhuul ye mujh se ho ga.ī jī
meri kahani raste mein
jaane kahan pe kho gai ji
dil mein bahut sharminda hun
bhul ye mujh se ho gai ji
main jab apne ghar se chali
saDak saDak aur gali gali
kahin miThai rakkhi thi
wahin baDi si makkhi thi
makkhi boli bhin bhin bhin
jao na tum Tw mujh bin
nachungi aur gaungi
apne hunar dikhlaungi
main ne kaha kya gaogi
bimari phailaogi
makkhi uD gai jaldi se
main bhi muD gai jaldi se
moD pe chiDiya baiThi thi
mera rasta takti thi
kahne lagi wo chun chun chun
main bhi tumhaare sath chalun
nachungi aur gaungi
apne hunar dikhlaungi
pas hi chin chin hone lagi
baby chiDiya rone lagi
main ne kaha is ko bahlao
dal ka dana le ke jao
uD gai kah ke jaun jaun
billi boli myaun myaun
nachungi aur gaungi
apne hunar dikhlaungi
main us se katrane lagi
bas yunhi samjhane lagi
chuhe agar sun paenge
kaisa mazaq uDaenge
billi ko chuhe yaad aae
us ne panje lahrae
panje mein uljha ghubbara
samne tha ek fawwara
fawware ke pas wahan
munnu ke bhai chunnu miyan
god mein jo the aaya ki
kya jaanen wo chaalaki
aaj hamein bhi le ke chalo
telewision station ko
main ne un ko toffee di
unhon ne mujh ko muafi di
phir main aai aap ke pas
nahin kahani mere pas
meri kahani raste mein
jaane kahan pe kho gai ji
dil mein bahut sharminda hun
bhul ye mujh se ho gai ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.