kahani ka saman
mirī pyārī annā merī annā jaanī
sunā de mujhe koī aisī kahānī
ki jis meñ paristān kā sā samāñ ho
zamīñ phuul kī chāñd kā āsmāñ ho
sitāre baraste hoñ jis kī fazā meñ
ho ḳhushbū kā tūfān jis kī havā meñ
jahāñ shahd-o-sharbat kī nahreñ ravāñ hoñ
jahāñ hiire yāqūt kī kashtiyāñ hoñ
aur un meñ koī giit gaatī hoñ pariyāñ
shuāoñ ke barbat bajātī hoñ pariyāñ
pahāḌ us meñ jitne hoñ saare tilā.ī
aur un ke suhāne nazāre tilā.ī
añdherā na ho naam ko bhī jahāñ meñ
ho ik chāñd raushan har ik sham.a-dāñ meñ
mahal ho har ik sañg-e-marmar kā jis meñ
har ik taaq ho la.al-o-gauhar kā jis meñ
na būḌhā ho koī na koī javāñ ho
faqat maiñ huuñ aur merī annā vahāñ ho
mire par hoñ uḌtā phirūñ maiñ havā meñ
hukūmat ho merī vahāñ kī fazā meñ
ġharaz merī annā mirī annā jaanī
sunā de mujhe koī aisī kahānī
meri pyari anna meri anna jaani
suna de mujhe koi aisi kahani
ki jis mein paristan ka sa saman ho
zamin phul ki chand ka aasman ho
sitare baraste hon jis ki faza mein
ho KHushbu ka tufan jis ki hawa mein
jahan shahd-o-sharbat ki nahren rawan hon
jahan hire yaqut ki kashtiyan hon
aur un mein koi git gati hon pariyan
shuaon ke barbat bajati hon pariyan
pahaD us mein jitne hon sare tilai
aur un ke suhane nazare tilai
andhera na ho nam ko bhi jahan mein
ho ek chand raushan har ek shama-dan mein
mahal ho har ek sang-e-marmar ka jis mein
har ek taq ho lal-o-gauhar ka jis mein
na buDha ho koi na koi jawan ho
faqat main hun aur meri anna wahan ho
mere par hon uDta phirun main hawa mein
hukumat ho meri wahan ki faza mein
gharaz meri anna meri anna jaani
suna de mujhe koi aisi kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.