kahani nahin thi
har ik raat ke āḳhirī aur pahle paḌāv meñ terī sunā.ī huī har kahānī paḌī hai
kahānī se sāñseñ bañdhī haiñ
kahānī meñ jangal samundar pahāḌ aur sahrā bhare haiñ
kisī dūsrī aañkh meñ tere lafzoñ ke bojhal bahāv ke dhuñdle kināre jaḌe haiñ
yahī dhund ik raat ko dūsrī raat se
aur rātoñ ko āñkhoñ se
āñkhoñ ko sāñsoñ se
sāñseñ kahānī se joḌe hue thī
kahānī meñ kitne alaav jale
aur tujhe kitnī raushan jabīnoñ kā naqsha banānā paḌā
ab kahāñ yaad tujh ko
tire sāmne se bhalā kitne manzar sarakte ga.e aur kitne ruke
ye tujhe kab ḳhabar thī
tujhe to kahānī banānī thī
jis meñ bahādur niDar shāh-zāde
safar se sarfarāz lauTeñ
to un meñ se har ek ko shāh-zādī mile
saltanat aur hiire javāhar mileñ
magar tū ye bhūlī huī thī
kahānī kā hissa to thī
par kahānī kī raanī nahīñ thī
kahīñ shahr-zād is jahāñ meñ kisī ne kahānī tirī yuuñ sunānī nahīñ thī
har ek raat ke aaKHiri aur pahle paDaw mein teri sunai hui har kahani paDi hai
kahani se sansen bandhi hain
kahani mein jangal samundar pahaD aur sahra bhare hain
kisi dusri aankh mein tere lafzon ke bojhal bahaw ke dhundle kinare jaDe hain
yahi dhund ek raat ko dusri raat se
aur raaton ko aankhon se
aankhon ko sanson se
sansen kahani se joDe hue thi
kahani mein kitne alaw jale
aur tujhe kitni raushan jabinon ka naqsha banana paDa
ab kahan yaad tujh ko
tere samne se bhala kitne manzar sarakte gae aur kitne ruke
ye tujhe kab KHabar thi
tujhe to kahani banani thi
jis mein bahadur niDar shah-zade
safar se sarfaraaz lauTen
to un mein se har ek ko shah-zadi mile
saltanat aur hire jawahar milen
magar tu ye bhuli hui thi
kahani ka hissa to thi
par kahani ki rani nahin thi
kahin shahr-zad is jahan mein kisi ne kahani teri yun sunani nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.