kahani oDh li maine
zamāna chāhtā hai har-ghaḌī bas nit-na.ī bāteñ
na.e din aur na.ī shāmeñ na.ī sub.heñ na.ī rāteñ
na.ī qasmeñ na.e va.ade na.e rishte na.e naate
purāne jo bhī qisse the vo ab us ko nahīñ bhāte
maiñ ḳhud lafzoñ kī misroñ kī baham takrār se jānāñ
bahut uktā ga.ī thī ab
to maiñ ne yuuñ kiyā lafzoñ ko misroñ ko
lapeTā surḳh kāġhaz meñ
phir un ko man meñ raqsāñ aag dikhlā dī
havā meñ raakh ke uḌte hue zarroñ ne jab pūchhā
karegī kyā
sunegī kyā kahegī kyā
tirā dāman to ḳhālī hai
kahā maiñ ne
mujhe ab kuchh nahīñ karnā
mujhe ab kuchh nahīñ sunñā mujhe ab kuchh nahīñ kahnā
kahānī oḌh lī maiñ ne
zamana chahta hai har-ghaDi bas nit-nai baaten
nae din aur nai shamen nai subhen nai raaten
nai qasmen nae wade nae rishte nae nate
purane jo bhi qisse the wo ab us ko nahin bhate
main KHud lafzon ki misron ki baham takrar se jaanan
bahut ukta gai thi ab
to main ne yun kiya lafzon ko misron ko
lapeTa surKH kaghaz mein
phir un ko man mein raqsan aag dikhla di
hawa mein rakh ke uDte hue zarron ne jab puchha
karegi kya
sunegi kya kahegi kya
tera daman to KHali hai
kaha main ne
mujhe ab kuchh nahin karna
mujhe ab kuchh nahin sunna mujhe ab kuchh nahin kahna
kahani oDh li main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.