kahani
suno tum likh ke de do nā
kahānī meñ kahāñ sach hai
kahāñ pe ruk ke tum ne ġhāliban kuchh jhuuT likhnā hai
kahāñ aisā koī ik moḌ aanā hai
jahāñ chālān mumkin hai
kahāñ vo besh-qīmat sā
sunahrī chhoTā sā Dibbā jo apnī dhaḌkanoñ se apne hone kī gavāhī de rahā hai
TuuT jaanā hai
kahāñ qaarī ko samjhānā hai
dukh ke is alaav meñ jhulastī sī kahānī rok denā hī zarūrī hai
safar meñ ruk ke sab ko alvidā.a kahne kā lamha lāzmī hai
kahāñ tārīḳh likh ke is qalam ko jeb meñ rakhnā zarūrī ho gayā hai
suno tum ye batāo nā
tumhārī tilsmātī sī kahānī meñ koī kirdār to hogā
jo zimmedār hogā
kahāñ par markazī kirdār ne dukh dard siine meñ chhupānā hai
falak ko bad-gumāñ kar ke
zamīñ ko āsmāñ hotā dikhānā hai
nadāmat aur malāmat saath rakhnī hai
har ik saa.at ke saare dukh uThāne haiñ
nibhāne haiñ
batānā hai
mohabbat zindagī kā isti.āra hai
mohabbat raat kā pahlā sitāra hai
yā
dukh kā āḳhirī koī kināra hai
suno tum likh ke de do na
kahani mein kahan sach hai
kahan pe ruk ke tum ne ghaaliban kuchh jhuT likhna hai
kahan aisa koi ek moD aana hai
jahan chaalan mumkin hai
kahan wo besh-qimat sa
sunahri chhoTa sa Dibba jo apni dhaDkanon se apne hone ki gawahi de raha hai
TuT jaana hai
kahan qari ko samjhana hai
dukh ke is alaw mein jhulasti si kahani rok dena hi zaruri hai
safar mein ruk ke sab ko alwidaa kahne ka lamha lazmi hai
kahan tariKH likh ke is qalam ko jeb mein rakhna zaruri ho gaya hai
suno tum ye batao na
tumhaari tilsmati si kahani mein koi kirdar to hoga
jo zimmedar hoga
kahan par markazi kirdar ne dukh dard sine mein chhupana hai
falak ko bad-guman kar ke
zamin ko aasman hota dikhana hai
nadamat aur malamat sath rakhni hai
har ek saat ke sare dukh uThane hain
nibhane hain
batana hai
mohabbat zindagi ka istiara hai
mohabbat raat ka pahla sitara hai
ya
dukh ka aaKHiri koi kinara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.