kahaniyon se bhara ashtray
kaun hai vo shaḳhs jo dhāge se
afsāna bun rahā hai aur sharāb kī mahak
kamre meñ tāliyāñ piiT rahī hai
aish-tray kirdāroñ se bhar ga.ī hai
aur dhuāñ kaTahre meñ khaḌā
hamāre haq meñ gavāhī de rahā hai
koThe ke darvāze haañp rahe haiñ ki
tavā.if kī ubhrī chhātiyoñ ke pīchhe
ek shaḳhs panāh-guzīñ hai jis kī ainak
ke paar se jismoñ kā har hissa numāyāñ
hotā huā dikhā.ī detā hai
zarb-ul-amsāl apne chehre par make-up
kar rahī haiñ aur vo zaḳhm bhī chhup
rahe haiñ jo kabhī bhare nahīñ the
sard jazboñ meñ gosht ThanDā ho rahā hai
aur tahzīb kisī koThe par barahna ho kar jā baiThī hai
nayā aadmī na.ī kahānī kī daryāft hai
aur na.ī kahānī bhaḌvoñ kī purānī bolī hai
ḳharīd lo jism kā mahall-e-vaqūa aur
ubuur kar jaao utre hue libās ko
ki haiz kā ḳhuun ek daaġh hai jise
shahar kā har shaḳhs apne dāman par sajā.e
shorafā.ī ke bilkul paas se guzar rahā hai
kaun hai wo shaKHs jo dhage se
afsana bun raha hai aur sharab ki mahak
kamre mein taliyan piT rahi hai
aish-tray kirdaron se bhar gai hai
aur dhuan kaTahre mein khaDa
hamare haq mein gawahi de raha hai
koThe ke darwaze hanp rahe hain ki
tawaif ki ubhri chhatiyon ke pichhe
ek shaKHs panah-guzin hai jis ki ainak
ke par se jismon ka har hissa numayan
hota hua dikhai deta hai
zarb-ul-amsal apne chehre par make-up
kar rahi hain aur wo zaKHm bhi chhup
rahe hain jo kabhi bhare nahin the
sard jazbon mein gosht ThanDa ho raha hai
aur tahzib kisi koThe par barahna ho kar ja baiThi hai
naya aadmi nai kahani ki daryaft hai
aur nai kahani bhaDwon ki purani boli hai
KHarid lo jism ka mahall-e-waqua aur
ubur kar jao utre hue libas ko
ki haiz ka KHun ek dagh hai jise
shahar ka har shaKHs apne daman par sajae
shorafai ke bilkul pas se guzar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.