kahi an-kahi
kuchh na kahnā bhī bahut kahnā hai
lafz siine meñ hī ruk jaa.eñ to phir baat kahāñ hotī hai
lekin alfāz ke atrāf jo vo
ek chashm-e-nigarāñ hotī hai
usī chashm-e-nigarāñ ke sadqe
aañkh agar ḳhushk nazar aa.e bahut rotī hai
zindagī ḳhvāb hai tasvīr tirī suutī hai
ḳhvāb thā yā ālam-e-bedārī thā
terī tasvīr thī yā tuu, tujhe kab dekhā thā
ab to kuchh yaad nahīñ aatā hai sadiyāñ guzrīñ
haañ magar ye ki terā naam liye
ḳhushk ā.ankhoñ ke kināre ka.ī nadiyāñ guzrīñ
kuchh na kahna bhi bahut kahna hai
lafz sine mein hi ruk jaen to phir baat kahan hoti hai
lekin alfaz ke atraf jo wo
ek chashm-e-nigaran hoti hai
usi chashm-e-nigaran ke sadqe
aankh agar KHushk nazar aae bahut roti hai
zindagi KHwab hai taswir teri suti hai
KHwab tha ya aalam-e-bedari tha
teri taswir thi ya tu, tujhe kab dekha tha
ab to kuchh yaad nahin aata hai sadiyan guzrin
han magar ye ki tera nam liye
KHushk aaankhon ke kinare kai nadiyan guzrin
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 17)
- Author : Mus'haf Iqbal Tausifi
- Publication : Arshia Publications, Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.