kahi an-kahi
lafz tasvīreñ banāte tire hoñToñ se uThe the lekin
dekhte dekhte tahlīl hue
un kī hiddat mirī rag rag meñ ravāñ thī so rahī
phir tire hāthoñ kā lams aise mulā.em alfāz
terī āñkhoñ kī chamak raushan o mub.ham alfāz
aur vo lafz jo lafzoñ meñ nihāñ rahte haiñ
aur vo lafz ki iz.hār ke muhtāj nahīñ
phir bhī haiñ un ke liye gosh-bar-āvāz sabhī
un ke hamrāz sabhī
sab sune maiñ ne magar āḳhir-e-kār
sabhī tahlīl hue
lafz phir ruup badal kar mire dil meñ larze
shauq-e-iz.hār meñ be-tāb hue
lafz iz.hār meñ sūrat hī badal lete haiñ
jaane kyā baat thī kyā samjhe log
har koī apne hī lafzoñ meñ magan
har koī apne hī ras-rañg meñ gum
har koī apne hī āhañg meñ gum
aur phir lafz ki rahte haiñ gurezāñ ḳhud se
kaun suntā hai unheñ? kaun samajhtā hai unheñ?
jaane kyā baat thī kyā tū ne sunī
apne iz.hār pe nādim thā pashemān thā maiñ
apnī hī baat pe hairān thā maiñ
phir mirī baat bhī tahlīl huī
jaise tū bhuul ga.ī jaise jahāñ bhuul gayā
aur ab maiñ huuñ vo ik lafz-e-ġharīb
koī pūchhe bhī to chup rahtā huuñ
lafz taswiren banate tere honTon se uThe the lekin
dekhte dekhte tahlil hue
un ki hiddat meri rag rag mein rawan thi so rahi
phir tere hathon ka lams aise mulaem alfaz
teri aankhon ki chamak raushan o mubham alfaz
aur wo lafz jo lafzon mein nihan rahte hain
aur wo lafz ki izhaar ke muhtaj nahin
phir bhi hain un ke liye gosh-bar-awaz sabhi
un ke hamraaz sabhi
sab sune main ne magar aaKHir-e-kar
sabhi tahlil hue
lafz phir rup badal kar mere dil mein larze
shauq-e-izhaar mein be-tab hue
lafz izhaar mein surat hi badal lete hain
jaane kya baat thi kya samjhe log
har koi apne hi lafzon mein magan
har koi apne hi ras-rang mein gum
har koi apne hi aahang mein gum
aur phir lafz ki rahte hain gurezan KHud se
kaun sunta hai unhen? kaun samajhta hai unhen?
jaane kya baat thi kya tu ne suni
apne izhaar pe nadim tha pasheman tha main
apni hi baat pe hairan tha main
phir meri baat bhi tahlil hui
jaise tu bhul gai jaise jahan bhul gaya
aur ab main hun wo ek lafz-e-gharib
koi puchhe bhi to chup rahta hun
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 314)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.