kahin aur hi chalna hoga
mere gītoñ meñ mohabbat ne jalā.e haiñ charāġh
aur yahāñ zulmat-e-zardār ke ghere haiñ tamām
sab ke hoñToñ pe havasnāk umīdoñ kī barāt
koī letā nahīñ ulfat bhare gītoñ kā salām
ai mire giit! kahīñ aur hī chalnā hogā
tujh ko ma.alūm nahīñ aadam o havvā kī zamīñ
apne nāsūr ko parde meñ chhupāne ke liye
gul kiye detī hai afkār ke ma.asūm charāġh
har nafas apne garebān pe rakhtī hai nazar
jis meñ ik taar bhī baaqī nahīñ parde ke liye
ai mire giit! kahīñ aur hī chalnā hogā
aa kahīñ aur kisī desh ko DhūñDeñ chal kar
ho jahāñ bhuuk na afkār ke pardoñ pe muhīt
vaqt Daale na jahāñ qaid meñ fikroñ kā jamāl
pyaar ke bol ko apnā.e jahāñ saarī zamīñ
aa usī desh meñ phailā.ūñ tire pyaar kā nuur
ai mire giit! kahīñ aur hī chalnā hogā
ye bhī mumkin hai ki jholī meñ amal kī ik roz
yaas kī ḳhaak ho aur duur ho apnī manzil
ārzūoñ kā koī desh na mil paa.e agar
mere siine meñ utar jā ki yahāñ koī nahīñ
jo tire nuur ko paiġhām ko samjhe aa kar
ai mire giit kahīñ aur hī chalnā hogā
mere giton mein mohabbat ne jalae hain charagh
aur yahan zulmat-e-zardar ke ghere hain tamam
sab ke honTon pe hawasnak umidon ki baraat
koi leta nahin ulfat bhare giton ka salam
ai mere git! kahin aur hi chalna hoga
tujh ko malum nahin aadam o hawwa ki zamin
apne nasur ko parde mein chhupane ke liye
gul kiye deti hai afkar ke masum charagh
har nafas apne gareban pe rakhti hai nazar
jis mein ek tar bhi baqi nahin parde ke liye
ai mere git! kahin aur hi chalna hoga
aa kahin aur kisi desh ko DhunDen chal kar
ho jahan bhuk na afkar ke pardon pe muhit
waqt Dale na jahan qaid mein fikron ka jamal
pyar ke bol ko apnae jahan sari zamin
aa usi desh mein phailaun tere pyar ka nur
ai mere git! kahin aur hi chalna hoga
ye bhi mumkin hai ki jholi mein amal ki ek roz
yas ki KHak ho aur dur ho apni manzil
aarzuon ka koi desh na mil pae agar
mere sine mein utar ja ki yahan koi nahin
jo tere nur ko paigham ko samjhe aa kar
ai mere git kahin aur hi chalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.