kahin barish ho chuki hai
makān aur log
bahut ḳhush aur na.e nazar aa rahe haiñ
rāste aur daraḳht
ḳhud ko dhulā huā mahsūs kar rahe haiñ
phuul aur parinde
tez dhuup meñ phaile hue haiñ
ḳhvāb aur āvāzeñ
shāyad paanī meñ Duube hue haiñ
udāsī aur ḳhushī
os kī tarah bichhī hai
aisā lagtā hai
mere dil se bāhar
yā tumhārī āñkhoñ ke paas
kahīñ bārish ho chukī hai
makan aur log
bahut KHush aur nae nazar aa rahe hain
raste aur daraKHt
KHud ko dhula hua mahsus kar rahe hain
phul aur parinde
tez dhup mein phaile hue hain
KHwab aur aawazen
shayad pani mein Dube hue hain
udasi aur KHushi
os ki tarah bichhi hai
aisa lagta hai
mere dil se bahar
ya tumhaari aankhon ke pas
kahin barish ho chuki hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 548)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.