kahin kuchh jal raha hai
jab parinde lahūluhān ho kar āsmān se gir rahe the
maiñ paanī ke qatre se motī chun rahī thī
jab kabūtaroñ ke ġhol ġhā.eb the
āsmān par shamshīreñ chamak rahī thiiñ
maiñ bādaloñ ko bosa de rahī thī
āsmānī baḳhshish ne mere kore canvās par
likh dī ek nazm
vahāñ sāhiloñ par uḌte hue parinde the
bārish thī
aur kabūtaroñ ke ġhol
āsmān kā rang niilā thā
pariyāñ koh-e-qāf se duā.eñ le kar lauTī thiiñ
maut kī sarhadoñ se alag
jab bachchoñ kī loriyoñ meñ
ḳhauf kī mausīqī shāmil ho rahī thī
maiñ ek achchhe din kī nazm
pariyoñ kī kahānī ke saath
un bachchoñ ko sunānā chāhtī thī
jab parinde lahuluhan ho kar aasman se gir rahe the
main pani ke qatre se moti chun rahi thi
jab kabutaron ke ghol ghaeb the
aasman par shamshiren chamak rahi thin
main baadalon ko bosa de rahi thi
aasmani baKHshish ne mere kore canwas par
likh di ek nazm
wahan sahilon par uDte hue parinde the
barish thi
aur kabutaron ke ghol
aasman ka rang nila tha
pariyan koh-e-qaf se duaen le kar lauTi thin
maut ki sarhadon se alag
jab bachchon ki loriyon mein
KHauf ki mausiqi shamil ho rahi thi
main ek achchhe din ki nazm
pariyon ki kahani ke sath
un bachchon ko sunana chahti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.