kahin kuchh nahin hota
kahīñ kuchh nahīñ hotā
na āsmān TūTtā hai
na zamīñ bikhartī hai
har chiiz apnī apnī jagah Thahar ga.ī hai
maah o saal
shab o roz
barf kī tarah jam ga.e haiñ
ab kahīñ ajnabī qadmoñ kī chaap se
koī darvāza nahīñ khultā
na kahīñ kisī jāduī charāġh se
koī pariyoñ kā mahal tāmīr hotā hai
na kahīñ bārish hotī hai
na shahr jaltā hai
kahīñ kuchh nahīñ hotā
ab hamesha ek hī mausam rahtā hai
na na.e phuul khilte haiñ
na kahīñ patjhaḌ hotā hai
khetoñ aur khaliyānoñ se
saje hue bāzāroñ tak
na.e mausam ke intizār meñ
log chup-chāp khaḌe haiñ
na kahīñ koī kuñvārī hañstī hai
na kahīñ koī bachcha rotā hai
kahīñ kuchh nahīñ hotā
rāstoñ par aur ufuq bikhar ga.e haiñ
aur kitāboñ pe dhuul
dimāġhoñ meñ jaale haiñ
aur diloñ meñ ḳhauf
galiyoñ meñ dhuāñ hai
aur gharoñ meñ bhuuk
ab na koī jañgal jañgal bhaTaktā hai
na koī patthar kaaT kaaT kar nahreñ nikāltā hai
kahīñ kuchh nahīñ hotā
kahin kuchh nahin hota
na aasman TuTta hai
na zamin bikharti hai
har chiz apni apni jagah Thahar gai hai
mah o sal
shab o roz
barf ki tarah jam gae hain
ab kahin ajnabi qadmon ki chap se
koi darwaza nahin khulta
na kahin kisi jadui charagh se
koi pariyon ka mahal tamir hota hai
na kahin barish hoti hai
na shahr jalta hai
kahin kuchh nahin hota
ab hamesha ek hi mausam rahta hai
na nae phul khilte hain
na kahin patjhaD hota hai
kheton aur khaliyanon se
saje hue bazaron tak
nae mausam ke intizar mein
log chup-chap khaDe hain
na kahin koi kunwari hansti hai
na kahin koi bachcha rota hai
kahin kuchh nahin hota
raston par aur ufuq bikhar gae hain
aur kitabon pe dhul
dimaghon mein jale hain
aur dilon mein KHauf
galiyon mein dhuan hai
aur gharon mein bhuk
ab na koi jangal jangal bhaTakta hai
na koi patthar kaT kaT kar nahren nikalta hai
kahin kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.