Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahna ye tha

Saima Esma

kahna ye tha

Saima Esma

MORE BYSaima Esma

    jaane kahāñ ho

    daftar ke murda māhaul meñ

    doġhle logoñ ke jhurmuT meñ

    shahar bāhoñ ke zālim halqe se bāhar

    chauḌī shah-rāhoñ ke tapte siine par chup-chāp ravāñ ho

    kisī tah-ḳhāne ThanDak ke mehmāñ ho

    mobile saaf javāb hai

    aap ke matlūba number se koī javāb nahīñ miltā hai

    kahnā ye thā

    ye computer aaj mirī ḳhvārī par phir āmāda hai

    net rābta juḌ nahīñ paatā

    juḌ jaa.e to pal se ziyāda rukne ko tayyār nahīñ hai

    kaun icon dabā.ūñ to ye sarkash ghoḌā qaabū meñ aa.egā

    kis number par phone karūñ to koī madad sūrat hogī

    modem bāġhī ho baiThā hai

    server baat nahīñ suntā

    web ragoñ meñ ḳhuun jamā hai

    kone par ik ghūmtī duniyā ke mehvar par zang lagā hai

    jaane kahāñ ho

    kisī shajar bāham paivasta shāḳhoñ se raah banā kar

    bijlī ke khamboñ tāroñ

    dīvāroñ ke kaan se ho kar

    shāyad koī bhūlā-bhaTkā signal tum ko DhūñD nikāle

    aur batlā de

    paas na ho tum to maiñ saare aalam se kaT jaatī huuñ

    duniyā merī muTThī meñ se ret sūrat bah jaatī hai

    duniyā bhar se mere rābte bas tum se haiñ

    rābta rakhnā

    jaane kahan ho

    daftar ke murda mahaul mein

    doghle logon ke jhurmuT mein

    shahar ki bahon ke zalim halqe se bahar

    chauDi shah-rahon ke tapte sine par chup-chap rawan ho

    ya kisi tah-KHane ki ThanDak ke mehman ho

    mobile ka saf jawab hai

    aap ke matluba number se koi jawab nahin milta hai

    kahna ye tha

    ye computer aaj meri KHwari par phir aamada hai

    net ka rabta juD nahin pata

    juD jae to pal se ziyaada rukne ko tayyar nahin hai

    kaun sa icon dabaun to ye sarkash ghoDa qabu mein aaega

    kis number par phone karun to koi madad ki surat hogi

    modem baghi ho baiTha hai

    serwer baat nahin sunta

    web ki ragon mein KHun jama hai

    kone par ek ghumti duniya ke mehwar par zang laga hai

    jaane kahan ho

    kisi shajar ki baham paiwasta shaKHon se rah bana kar

    bijli ke khambon taron

    ya diwaron ke kan se ho kar

    shayad koi bhula-bhaTka signal tum ko DhunD nikale

    aur batla de

    pas na ho tum to main sare aalam se kaT jati hun

    duniya meri muTThi mein se ret ki surat bah jati hai

    duniya bhar se mere rabte bas tum se hain

    rabta rakhna

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now