kaho kuchh to kaho
Interesting Fact
(نذرگجرات)
kaho shāyad hamāre gosht ke andar
lahū ke barqiyoñ meñ
aur dhamaktī dhamniyoñ meñ
aañkh ban kar ab bhī koī jāgtā hai
vahī sachchā.iyoñ kī qabr kā aaseb
andhe ā.inoñ ke aks ko kauñdā
hamesha ke samundar kā bulāvā
maut kī sāñsoñ kā lahrā
bhiik kā kaasa
kuchh aisā jis kī shāyad ik chhuvan se
hamārī ḳhud-kushī qurbāniyoñ kā naam paatī hai
kaho jo kuchh bhī hai
jaisā bhī hai
vo aaj zinda hai
kaho kuchh to kaho vo jhuuT hī phir aaj doharāo
kaho shayad hamare gosht ke andar
lahu ke barqiyon mein
aur dhamakti dhamniyon mein
aankh ban kar ab bhi koi jagta hai
wahi sachchaiyon ki qabr ka aaseb
andhe aainon ke aks ko kaunda
hamesha ke samundar ka bulawa
maut ki sanson ka lahra
bhik ka kasa
kuchh aisa jis ki shayad ek chhuwan se
hamari KHud-kushi qurbaniyon ka nam pati hai
kaho jo kuchh bhi hai
jaisa bhi hai
wo aaj zinda hai
kaho kuchh to kaho wo jhuT hi phir aaj doharao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.