kahte hain
kahte haiñ
ek būḌhī maañ ke beTe kī dariyā meñ
ġharq huī ek barāt
paanī ke shahr se zinda lauT ke aa.ī
aur būḌhī maañ kī āñkhoñ ko jaise
ik na.ī raushnī mil ga.ī
tum kyoñ be-sabrī se tilmilā rahe ho
guzar jaane do itne saal
jitne baras rote rote būḌhī maañ ne kaaTe the
saare dūlhe dariyāoñ se haar pahne saj-dhaj ke bāhar ā.eñge
innallāh ma.assābirīn
lekin pahle itnā to batā do
tum ko ḳhudā kuchh yaad bhī hai
kahte hain
ek buDhi man ke beTe ki dariya mein
gharq hui ek baraat
pani ke shahr se zinda lauT ke aai
aur buDhi man ki aankhon ko jaise
ek nai raushni mil gai
tum kyon be-sabri se tilmila rahe ho
guzar jaane do itne sal
jitne baras rote rote buDhi man ne kaTe the
sare dulhe dariyaon se haar pahne saj-dhaj ke bahar aaenge
innallah massabirin
lekin pahle itna to bata do
tum ko KHuda kuchh yaad bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.