kaif-o-rang
ye mai ye fazā.eñ ye junūñ-rez nazāre
ai kaash mujhe koī hasīñ lai meñ pukāre
e.ajāz haiñ sab merī hī taḳh.īl-e-hasīñ kā
jannat ke nazāre hoñ ki dozaḳh ke sharāre
ye kaun mirī ruuh kī gahrā.ī meñ jhūmā
ye kis ne mire bigḌe hue baal sañvāre
kab tak na bahā.egā mire haal pe aañsū
o merī mohabbat ke chamakte hue taare
barsātā huā phuul tabassum ke nazar se
aa dil ke shivāle meñ javānī ko ubhāre
'najma' na gunāhgār kahīñ mujh ko banā de
ye bahkī huī raat ye hañste hue taare
ye mai ye fazaen ye junun-rez nazare
ai kash mujhe koi hasin lai mein pukare
eajaz hain sab meri hi taKHil-e-hasin ka
jannat ke nazare hon ki dozaKH ke sharare
ye kaun meri ruh ki gahrai mein jhuma
ye kis ne mere bigDe hue baal sanware
kab tak na bahaega mere haal pe aansu
o meri mohabbat ke chamakte hue tare
barsata hua phul tabassum ke nazar se
aa dil ke shiwale mein jawani ko ubhaare
'najma' na gunahgar kahin mujh ko bana de
ye bahki hui raat ye hanste hue tare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.