kaif
yahāñ sajda vahāñ sajda na ka.aba hai na but-ḳhāna
na jaane kar rahā hai kyā kisī mastī meñ mastāna
pilā de mujh ko saaqī tū yuuñ paimāna-ba-paimāna
nazar aa.e tirī duniyā mujhe bas ek paimāna
mujhe lagtā hai ab sāġhar bhī jaise ek mai-ḳhāna
nigāh-e-ḳhās hai jab se tirī ai pīr-e-mai-ḳhāna
ajab tū hai ajab mai hai ajab sā terā mai-ḳhāna
nahīñ saaqī koī lekin bharā jaatā hai paimāna
huā jaatā hai ḳhālī zindagī kā aise paimāna
sahar tak jaise suunā hotā jaa.e koī mai-ḳhāna
na ab mai hai na mai-kash hai na saaqī hai na mai-ḳhāna
piye jaatā hai lekin koī paimāna-ba-paimāna
yahāñ phirte haiñ TuuTā sā liye hāthoñ meñ paimāna
vahāñ muddat se detā hai sadā.eñ koī mai-ḳhāna
tirā dast-e-shafīqāna tirī nazar-e-karīmāna
yahī hai mudda.ā merā yahī arz-e-ġharībāna
tirī mahfil se jaa.e to kahāñ jaa.e ye dīvāna
ye kahtā phir rahā hai har taraf mahfil meñ mastāna
idhar sajda udhar sajda na sūrat hai na mūrat hai
ajab aalam liye phirtā hai apne meñ ye dīvāna
kiye jaatā hai bas sajde na ye dekhe na vo dekhe
kisī sūrat nahīñ suntā kisī kī terā mastāna
tujhe dekhūñ to kyā dekhūñ tire jalvoñ se vāqif huuñ
yahī kahtā rahā shab bhar tirī mahfil meñ dīvāna
tirā dariyā hai maiñ huuñ aur hai ab Duub kar jaanā
kare karnā hai jo bhī ab tirā taur-e-karīmāna
mujhe de de tū ik qatra hī mai-ḳhāne se ai saaqī
nahīñ detā na de mujh ko tū paimāna-ba-paimāna
kisī kā dar ho sajde hoñ zabāñ chup aañkh meñ aañsū
kahāñ aate haiñ shāhoñ ko ye ādāb-e-faqīrāna
yahan sajda wahan sajda na kaba hai na but-KHana
na jaane kar raha hai kya kisi masti mein mastana
pila de mujh ko saqi tu yun paimana-ba-paimana
nazar aae teri duniya mujhe bas ek paimana
mujhe lagta hai ab saghar bhi jaise ek mai-KHana
nigah-e-KHas hai jab se teri ai pir-e-mai-KHana
ajab tu hai ajab mai hai ajab sa tera mai-KHana
nahin saqi koi lekin bhara jata hai paimana
hua jata hai KHali zindagi ka aise paimana
sahar tak jaise suna hota jae koi mai-KHana
na ab mai hai na mai-kash hai na saqi hai na mai-KHana
piye jata hai lekin koi paimana-ba-paimana
yahan phirte hain TuTa sa liye hathon mein paimana
wahan muddat se deta hai sadaen koi mai-KHana
tera dast-e-shafiqana teri nazar-e-karimana
yahi hai muddaa mera yahi arz-e-gharibana
teri mahfil se jae to kahan jae ye diwana
ye kahta phir raha hai har taraf mahfil mein mastana
idhar sajda udhar sajda na surat hai na murat hai
ajab aalam liye phirta hai apne mein ye diwana
kiye jata hai bas sajde na ye dekhe na wo dekhe
kisi surat nahin sunta kisi ki tera mastana
tujhe dekhun to kya dekhun tere jalwon se waqif hun
yahi kahta raha shab bhar teri mahfil mein diwana
tera dariya hai main hun aur hai ab Dub kar jaana
kare karna hai jo bhi ab tera taur-e-karimana
mujhe de de tu ek qatra hi mai-KHane se ai saqi
nahin deta na de mujh ko tu paimana-ba-paimana
kisi ka dar ho sajde hon zaban chup aankh mein aansu
kahan aate hain shahon ko ye aadab-e-faqirana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.