aurat
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
qalb-e-māhaul meñ larzāñ sharar-e-jañg haiñ aaj
hausle vaqt ke aur ziist ke yak-rañg haiñ aaj
ābgīnoñ meñ tapāñ valvala-e-sañg haiñ aaj
husn aur ishq ham-āvāz o ham-āhañg haiñ aaj
jis meñ jaltā huuñ usī aag meñ jalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
tere qadmoñ meñ hai firdaus-e-tamaddun kī bahār
terī nazroñ pe hai tahzīb o taraqqī kā madār
terī āġhosh hai gahvāra-e-nafs-o-kirdār
tā-ba-kai gird tire vahm o ta.ayyun kā hisār
kauñd kar majlis-e-ḳhalvat se nikalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
tū ki be-jān khilaunoñ se bahal jaatī hai
taptī sāñsoñ kī harārat se pighal jaatī hai
paañv jis raah meñ rakhtī hai phisal jaatī hai
ban ke sīmāb har ik zarf meñ Dhal jaatī hai
ziist ke āhanī sāñche meñ bhī Dhalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
zindagī jehd meñ hai sabr ke qaabū meñ nahīñ
nabz-e-hastī kā lahū kāñpte aañsū meñ nahīñ
uḌne khulne meñ hai nik.hat ḳham-e-gesū meñ nahīñ
jannat ik aur hai jo mard ke pahlū meñ nahīñ
us kī āzād ravish par bhī machalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
goshe goshe meñ sulagtī hai chitā tere liye
farz kā bhes badaltī hai qazā tere liye
qahr hai terī har ik narm adā tere liye
zahr hī zahr hai duniyā kī havā tere liye
rut badal Daal agar phūlnā phalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
qadr ab tak tirī tārīḳh ne jaanī hī nahīñ
tujh meñ sho.ale bhī haiñ bas ashk-fishānī hī nahīñ
tū haqīqat bhī hai dilchasp kahānī hī nahīñ
terī hastī bhī hai ik chiiz javānī hī nahīñ
apnī tārīḳh kā unvān badalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
toḌ kar rasm kā but band-e-qadāmat se nikal
zof-e-ishrat se nikal vahm-e-nazākat se nikal
nafs ke khīñche hue halqa-e-azmat se nikal
qaid ban jaa.e mohabbat to mohabbat se nikal
raah kā ḳhaar hī kyā gul bhī kuchalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
toḌ ye azm-shikan daġhdaġha-e-pand bhī toḌ
terī ḳhātir hai jo zanjīr vo saugand bhī toḌ
tauq ye bhī hai zamurrad kā gulū-band bhī toḌ
toḌ paimāna-e-mardān-e-ḳhirad-mand bhī toḌ
ban ke tūfān chhalaknā hai ubalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
tū falātūn o arastū hai tū zahrā parvīñ
tere qabze meñ hai gardūñ tirī Thokar meñ zamīñ
haañ uThā jald uThā pā-e-muqaddar se jabīñ
maiñ bhī rukne kā nahīñ vaqt bhī rukne kā nahīñ
laḌkhaḌā.egī kahāñ tak ki sambhalnā hai tujhe
uTh mirī jaan mire saath hī chalnā hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
qalb-e-mahaul mein larzan sharar-e-jang hain aaj
hausle waqt ke aur zist ke yak-rang hain aaj
aabginon mein tapan walwala-e-sang hain aaj
husn aur ishq ham-awaz o ham-ahang hain aaj
jis mein jalta hun usi aag mein jalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
tere qadmon mein hai firdaus-e-tamaddun ki bahaar
teri nazron pe hai tahzib o taraqqi ka madar
teri aaghosh hai gahwara-e-nafs-o-kirdar
ta-ba-kai gird tere wahm o tayyun ka hisar
kaund kar majlis-e-KHalwat se nikalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
tu ki be-jaan khilaunon se bahal jati hai
tapti sanson ki hararat se pighal jati hai
panw jis rah mein rakhti hai phisal jati hai
ban ke simab har ek zarf mein Dhal jati hai
zist ke aahani sanche mein bhi Dhalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
zindagi jehd mein hai sabr ke qabu mein nahin
nabz-e-hasti ka lahu kanpte aansu mein nahin
uDne khulne mein hai nikhat KHam-e-gesu mein nahin
jannat ek aur hai jo mard ke pahlu mein nahin
us ki aazad rawish par bhi machalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
goshe goshe mein sulagti hai chita tere liye
farz ka bhes badalti hai qaza tere liye
qahr hai teri har ek narm ada tere liye
zahr hi zahr hai duniya ki hawa tere liye
rut badal Dal agar phulna phalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
qadr ab tak teri tariKH ne jaani hi nahin
tujh mein shoale bhi hain bas ashk-fishani hi nahin
tu haqiqat bhi hai dilchasp kahani hi nahin
teri hasti bhi hai ek chiz jawani hi nahin
apni tariKH ka unwan badalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
toD kar rasm ka but band-e-qadamat se nikal
zof-e-ishrat se nikal wahm-e-nazakat se nikal
nafs ke khinche hue halqa-e-azmat se nikal
qaid ban jae mohabbat to mohabbat se nikal
rah ka KHar hi kya gul bhi kuchalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
toD ye azm-shikan daghdagha-e-pand bhi toD
teri KHatir hai jo zanjir wo saugand bhi toD
tauq ye bhi hai zamurrad ka gulu-band bhi toD
toD paimana-e-mardan-e-KHirad-mand bhi toD
ban ke tufan chhalakna hai ubalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
tu falatun o arastu hai tu zahra parwin
tere qabze mein hai gardun teri Thokar mein zamin
han uTha jald uTha pa-e-muqaddar se jabin
main bhi rukne ka nahin waqt bhi rukne ka nahin
laDkhaDaegi kahan tak ki sambhalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.