daera
roz baḌhtā huuñ jahāñ se aage
phir vahīñ lauT ke aa jaatā huuñ
bār-hā toḌ chukā huuñ jin ko
unhīñ dīvāroñ se Takrātā huuñ
roz baste haiñ ka.ī shahr na.e
roz dhartī meñ samā jaate haiñ
zalzaloñ meñ thī zarā sī garmī
vo bhī ab roz hī aa jaate haiñ
jism se ruuh talak ret hī ret
na kahīñ dhuup na saaya na sarāb
kitne armān haiñ kis sahrā meñ
kaun rakhtā hai mazāroñ kā hisāb
nabz bujhtī bhī bhaḌaktī bhī hai
dil kā ma.amūl hai ghabrānā bhī
raat andhere ne andhere se kahā
ek aadat hai jiye jaanā bhī
qaus ik rañg kī hotī hai tulū
ek hī chaal bhī paimāne kī
goshe goshe meñ khaḌī hai masjid
shakl kyā ho ga.ī mai-ḳhāne kī
koī kahtā thā samundar huuñ maiñ
aur mirī jeb meñ qatra bhī nahīñ
ḳhairiyat apnī likhā kartā huuñ
ab to taqdīr meñ ḳhatra bhī nahīñ
apne hāthoñ ko paḌhā kartā huuñ
kabhī qur.āñ kabhī giitā kī tarah
chand rekhāoñ meñ sīmāoñ meñ
zindagī qaid hai siitā kī tarah
raam kab lauTeñge ma.alūm nahīñ
kaash rāvan hī koī aa jaatā
roz baDhta hun jahan se aage
phir wahin lauT ke aa jata hun
bar-ha toD chuka hun jin ko
unhin diwaron se Takraata hun
roz baste hain kai shahr nae
roz dharti mein sama jate hain
zalzalon mein thi zara si garmi
wo bhi ab roz hi aa jate hain
jism se ruh talak ret hi ret
na kahin dhup na saya na sarab
kitne arman hain kis sahra mein
kaun rakhta hai mazaron ka hisab
nabz bujhti bhi bhaDakti bhi hai
dil ka mamul hai ghabrana bhi
raat andhere ne andhere se kaha
ek aadat hai jiye jaana bhi
qaus ek rang ki hoti hai tulu
ek hi chaal bhi paimane ki
goshe goshe mein khaDi hai masjid
shakl kya ho gai mai-KHane ki
koi kahta tha samundar hun main
aur meri jeb mein qatra bhi nahin
KHairiyat apni likha karta hun
ab to taqdir mein KHatra bhi nahin
apne hathon ko paDha karta hun
kabhi quran kabhi gita ki tarah
chand rekhaon mein simaon mein
zindagi qaid hai sita ki tarah
ram kab lauTenge malum nahin
kash rawan hi koi aa jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.