dusra ban-bas
raam ban-bās se jab lauT ke ghar meñ aa.e
yaad jañgal bahut aayā jo nagar meñ aa.e
raqs-e-dīvāngī āñgan meñ jo dekhā hogā
chhe december ko shrī raam ne sochā hogā
itne dīvāne kahāñ se mire ghar meñ aa.e
jagmagāte the jahāñ raam ke qadmoñ ke nishāñ
pyaar kī kāhkashāñ letī thī añgḌā.ī jahāñ
moḌ nafrat ke usī rāhguzar meñ aa.e
dharm kyā un kā thaa, kyā zaat thii, ye jāntā kaun
ghar na jaltā to unheñ raat meñ pahchāntā kaun
ghar jalāne ko mirā log jo ghar meñ aa.e
shākāhārī the mere dost tumhāre ḳhanjar
tum ne bābar kī taraf pheñke the saare patthar
hai mire sar kī ḳhatā, zaḳhm jo sar meñ aa.e
paañv sarjū meñ abhī raam ne dho.e bhī na the
ki nazar aa.e vahāñ ḳhuun ke gahre dhabbe
paañv dho.e binā sarjū ke kināre se uThe
raam ye kahte hue apne dvāre se uThe
rājdhānī kī fazā aa.ī nahīñ raas mujhe
chhe december ko milā dūsrā ban-bās mujhe
ram ban-bas se jab lauT ke ghar mein aae
yaad jangal bahut aaya jo nagar mein aae
raqs-e-diwangi aangan mein jo dekha hoga
chhe december ko shri ram ne socha hoga
itne diwane kahan se mere ghar mein aae
jagmagate the jahan ram ke qadmon ke nishan
pyar ki kahkashan leti thi angDai jahan
moD nafrat ke usi rahguzar mein aae
dharm kya un ka tha, kya zat thi, ye jaanta kaun
ghar na jalta to unhen raat mein pahchanta kaun
ghar jalane ko mera log jo ghar mein aae
shakahaari the mere dost tumhaare KHanjar
tum ne babar ki taraf phenke the sare patthar
hai mere sar ki KHata, zaKHm jo sar mein aae
panw sarju mein abhi ram ne dhoe bhi na the
ki nazar aae wahan KHun ke gahre dhabbe
panw dhoe bina sarju ke kinare se uThe
ram ye kahte hue apne dware se uThe
rajdhani ki faza aai nahin ras mujhe
chhe december ko mila dusra ban-bas mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.