aaj kī raat bahut garm havā chaltī hai
aaj kī raat na fōtpath pe niiñd aa.egī
sab uTho, maiñ bhī uThūñ tum bhī uTho, tum bhī uTho
koī khiḌkī isī dīvār meñ khul jā.egī
ye zamīñ tab bhī nigal lene pe āmāda thī
paañv jab TūTtī shāḳhoñ se utāre ham ne
un makānoñ ko ḳhabar hai na makīnoñ ko ḳhabar
un dinoñ kī jo guphāoñ meñ guzāre ham ne
haath Dhalte ga.e sāñche meñ to thakte kaise
naqsh ke ba.ad na.e naqsh nikhāre ham ne
kī ye dīvār buland, aur buland, aur buland
baam o dar aur, zarā aur sañvāre ham ne
āñdhiyāñ toḌ liyā kartī thiiñ sham.oñ kī laveñ
jaḌ diye is liye bijlī ke sitāre ham ne
ban gayā qasr to pahre pe koī baiTh gayā
so rahe ḳhaak pe ham shorish-e-tāmīr liye
apnī nas nas meñ liye mehnat-e-paiham kī thakan
band āñkhoñ meñ usī qasr kī tasvīr liye
din pighaltā hai usī tarah saroñ par ab tak
raat āñkhoñ meñ khaTaktī hai siyah tiir liye
aaj kī raat bahut garm havā chaltī hai
aaj kī raat na fōtpath pe niiñd aa.egī
sab uTho, maiñ bhī uThūñ tum bhī uTho, tum bhī uTho
koī khiḌkī isī dīvār meñ khul jā.egī
aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
aaj ki raat na footpath pe nind aaegi
sab uTho, main bhi uThun tum bhi uTho, tum bhi uTho
koi khiDki isi diwar mein khul jaegi
ye zamin tab bhi nigal lene pe aamada thi
panw jab TuTti shaKHon se utare hum ne
un makanon ko KHabar hai na makinon ko KHabar
un dinon ki jo guphaon mein guzare hum ne
hath Dhalte gae sanche mein to thakte kaise
naqsh ke baad nae naqsh nikhaare hum ne
ki ye diwar buland, aur buland, aur buland
baam o dar aur, zara aur sanware hum ne
aandhiyan toD liya karti thin shamon ki lawen
jaD diye is liye bijli ke sitare hum ne
ban gaya qasr to pahre pe koi baiTh gaya
so rahe KHak pe hum shorish-e-tamir liye
apni nas nas mein liye mehnat-e-paiham ki thakan
band aankhon mein usi qasr ki taswir liye
din pighalta hai usi tarah saron par ab tak
raat aankhon mein khaTakti hai siyah tir liye
aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
aaj ki raat na footpath pe nind aaegi
sab uTho, main bhi uThun tum bhi uTho, tum bhi uTho
koi khiDki isi diwar mein khul jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.