kaifiyat
ai nigāh-e-mast apnā sā hī mastāna banā
mai banā de ruuh ko aur jaañ ko paimāna banā
kaif-o-mastī kā banā de jaam dast-e-shauq meñ
luuT le jo mai-kada vo pīr-e-mai-ḳhāna banā
faiz par tere nigāh-e-faiz hai ye munhasir
jis ko chāhe jaise chāhe apnā dīvāna banā
ḳhud se begāna banā de kaif-o-mastī chhīn le
lau meñ sham-e-ishq kī jal jā.ūñ parvāna banā
muntashir kar de banā kar har taraf apnī mahak
mere afsāne ko afsānoñ kā afsāna banā
fāsla rakh utnā apne aur mere darmiyāñ
koī na samjhe ki kis kā kaun dīvāna banā
sāmne aa.uuñ tire to kapkapāte hoñT hoñ
tarz-e-minnat ko mirī tū taur-e-tiflāna banā
jān-o-tan se ruuh ke rishtoñ kī vus.at dekh lī
dil mirā pahlū meñ rah kar mujh se begāna banā
kitnā ai sāqi-e-mai-ḳhāna tirā mamnūn huuñ
lutf se tere hī merā azm rindāna banā
phūñk de ik ruuh jān-o-tan meñ apne ishq kī
ye na pūchh 'ashraf' se kaise terā dīvāna banā
ai nigah-e-mast apna sa hi mastana bana
mai bana de ruh ko aur jaan ko paimana bana
kaif-o-masti ka bana de jam dast-e-shauq mein
luT le jo mai-kada wo pir-e-mai-KHana bana
faiz par tere nigah-e-faiz hai ye munhasir
jis ko chahe jaise chahe apna diwana bana
KHud se begana bana de kaif-o-masti chhin le
lau mein sham-e-ishq ki jal jaun parwana bana
muntashir kar de bana kar har taraf apni mahak
mere afsane ko afsanon ka afsana bana
fasla rakh utna apne aur mere darmiyan
koi na samjhe ki kis ka kaun diwana bana
samne aaun tere to kapkapate honT hon
tarz-e-minnat ko meri tu taur-e-tiflana bana
jaan-o-tan se ruh ke rishton ki wusat dekh li
dil mera pahlu mein rah kar mujh se begana bana
kitna ai saqi-e-mai-KHana tera mamnun hun
lutf se tere hi mera azm rindana bana
phunk de ek ruh jaan-o-tan mein apne ishq ki
ye na puchh 'ashraf' se kaise tera diwana bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.