kaifiyat
maiñ in nazmoñ ko jab
taḳhayyul ke ḳhazānoñ se
varaq par muntaqil karne kī koshish kar rahā thā tab
faqat kāġhaz thā
merī zaat thī aur ye qalam-dāñ thā
magar jab likhne baiThā to
sabhī ik ruup meñ Dhal kar
mire andar simaT aa.iiñ
main in nazmon ko jab
taKHayyul ke KHazanon se
waraq par muntaqil karne ki koshish kar raha tha tab
faqat kaghaz tha
meri zat thi aur ye qalam-dan tha
magar jab likhne baiTha to
sabhi ek rup mein Dhal kar
mere andar simaT aain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.