kai lamhe
tumheñ ma.alūm hai jab bhī
purāne yaar
galiyoñ kī
yūñhī be-sūd bātoñ meñ
ka.ī ghanToñ kī
be-masraf
nashist-e-rā.egāñ ko
yaad karte haiñ
to kitnā lutf aatā hai
purāne ghar meñ guzre pal
aur un meñ
sab kahī aur an-kahī
bātoñ ko jab dohrāyā jaatā hai
to kitnā lutf aatā hai
tumheñ ma.alūm hai jab is tarah ke
an-ginat lamhe
jinheñ ham yaad karte haiñ
jinheñ ham DhūñDte haiñ
zindagī kī har udāsī meñ
muqayyad haiñ ghaḌī ke ain markaz meñ
ravāñ in sūiyoñ kī
be-sila be-kār harakat meñ
tumheñ ma.alūm hai jab bhī mujhe in kī zarūrat thī
to maiñ ne vaqt se
in āḳhirī ayyām meñ itnī guzārish kī
mujhe de do vo sab lamhe
ki ab in kī zarūrat hai
to vo mujh se yahī kahtā
ka.ī lamhe
kalā.iyoñ par bañdhī ghaḌiyoñ se bāhar haiñ
unheñ maiñ kaise vāpas duuñ
unheñ maiñ kaise lauTā duuñ
tumhein malum hai jab bhi
purane yar
galiyon ki
yunhi be-sud baaton mein
kai ghanTon ki
be-masraf
nashist-e-raegan ko
yaad karte hain
to kitna lutf aata hai
purane ghar mein guzre pal
aur un mein
sab kahi aur an-kahi
baaton ko jab dohraya jata hai
to kitna lutf aata hai
tumhein malum hai jab is tarah ke
an-ginat lamhe
jinhen hum yaad karte hain
jinhen hum DhunDte hain
zindagi ki har udasi mein
muqayyad hain ghaDi ke ain markaz mein
rawan in suiyon ki
be-sila be-kar harakat mein
tumhein malum hai jab bhi mujhe in ki zarurat thi
to main ne waqt se
in aaKHiri ayyam mein itni guzarish ki
mujhe de do wo sab lamhe
ki ab in ki zarurat hai
to wo mujh se yahi kahta
kai lamhe
kalaiyon par bandhi ghaDiyon se bahar hain
unhen main kaise wapas dun
unhen main kaise lauTa dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.