kai sad-hazar baras ke KHwab
tire dar se guzrā thā bārhā
vo khulā nahīñ
vahāñ dar pe pahra lagā thā gardish-e-hāl kā
maiñ tire tilism meñ band thā
mujhe thā kisī se na apne aap se vāsta
faqat ek nauha be-amāñ thā sukūt meñ
vo sukūt jis meñ bhañvar sadāoñ ke be-shumār
vahī gūñjte the vajūd meñ
koī chashm-e-shauq ko vāqiye
sar-e-rāh ab bhī milā nahīñ
to gila nahīñ
ki maiñ apnī zaat kī anjuman meñ har ik se mahv-e-kalām huuñ
mire haal kī na use ḳhabar na use ḳhabar
ki ye log
saada ġharīb muḳhlis-o-chāra-sāz
yahī log hirs meñ mubtalā jo nikāleñ kaam fareb se
na ho un sā koī zamāna-sāz
kabhī un meñ zahr anā kā hai kabhī vahm kā kabhī jahl kā
kabhī saañp andhī aqīdatoñ ke lipaT ga.e
hama-vaqt rahtī hai sīm-o-zar kī talab unheñ
ki ye ḳhvājgān-e-varam se rakhte haiñ sāz-bāz
jinheñ bandagān-e-varam kaheñ to bajā kaheñ
ki vo ḳhvāja kyā haiñ varam kī karte haiñ bandagī
unheñ mujh se milne kā shauq kyā
ye vo log haiñ jo na apne-āp se mil sake
ye unhīñ ke baare meñ thā jo khulā sahīfa-e-hast-o-būd
ye badalte chehroñ ke log
jin kā na apnā chehra na ḳhāl-o-ḳhat
usī kārvāñ meñ sharīk haiñ jo ummīd-e-vahm kī raah meñ
ka.ī sad-hazār baras se hai
ka.ī baar ubhre haiñ gard se
ka.ī baar dhuāñ meñ aT ga.e
vo jo ḳhvāb the
ka.ī sad-hazār baras ke ḳhvāb
jo yaqīñ na the jo gumāñ na the
vo jo un ke apne nigāh-o-dil pe ayaañ na the
ki ayaañ hue to bikhar ga.e
magar un kā apnā vajūd the lahū ban ke un kī ragoñ meñ paiham ravāñ bhī the
terā dar to ab bhī khulā nahīñ
magar ik ummīd kā dar khulā
ka.ī sad-hazār baras kā arsa-e-intizār guzar gayā
vo jo ḳhvāb the vo jo ḳhvāb haiñ
vahī ḳhvāb dil meñ utar paḌe
nayā rañg hai shab-o-roz kā
na.ī tābish-e-mah-o-sāl hai
hote sab ke ḳhvāb jo mere ḳhvāb
ajab us meñ lutf-e-visāl hai
tere dar se guzra tha barha
wo khula nahin
wahan dar pe pahra laga tha gardish-e-haal ka
main tere tilism mein band tha
mujhe tha kisi se na apne aap se wasta
faqat ek nauha be-aman tha sukut mein
wo sukut jis mein bhanwar sadaon ke be-shumar
wahi gunjte the wajud mein
koi chashm-e-shauq ko waqiye
sar-e-rah ab bhi mila nahin
to gila nahin
ki main apni zat ki anjuman mein har ek se mahw-e-kalam hun
mere haal ki na use KHabar na use KHabar
ki ye log
sada gharib muKHlis-o-chaara-saz
yahi log hirs mein mubtala jo nikalen kaam fareb se
na ho un sa koi zamana-saz
kabhi un mein zahr ana ka hai kabhi wahm ka kabhi jahl ka
kabhi sanp andhi aqidaton ke lipaT gae
hama-waqt rahti hai sim-o-zar ki talab unhen
ki ye KHwajgan-e-waram se rakhte hain saz-baz
jinhen bandagan-e-waram kahen to baja kahen
ki wo KHwaja kya hain waram ki karte hain bandagi
unhen mujh se milne ka shauq kya
ye wo log hain jo na apne-ap se mil sake
ye unhin ke bare mein tha jo khula sahifa-e-hast-o-bud
ye badalte chehron ke log
jin ka na apna chehra na KHal-o-KHat
usi karwan mein sharik hain jo ummid-e-wahm ki rah mein
kai sad-hazar baras se hai
kai bar ubhre hain gard se
kai bar dhuan mein aT gae
wo jo KHwab the
kai sad-hazar baras ke KHwab
jo yaqin na the jo guman na the
wo jo un ke apne nigah-o-dil pe ayan na the
ki ayan hue to bikhar gae
magar un ka apna wajud the lahu ban ke un ki ragon mein paiham rawan bhi the
tera dar to ab bhi khula nahin
magar ek ummid ka dar khula
kai sad-hazar baras ka arsa-e-intizar guzar gaya
wo jo KHwab the wo jo KHwab hain
wahi KHwab dil mein utar paDe
naya rang hai shab-o-roz ka
nai tabish-e-mah-o-sal hai
hote sab ke KHwab jo mere KHwab
ajab us mein lutf-e-visal hai
- Book : siip (Magzin) (Pg. 156)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.