laraz laraz kar damak rahe haiñ
magar jab aa.egā din kā chītā
aur un sitāroñ kā vaqt biitā
to āsmān ke nukīle jugnū
baneñge pal meñ Dhalakte aañsū
sahar ke parde meñ jā chhupeñge
maiñ aur tū aaj haiñ ikaTThe
sunā rahī hai tirī javānī
mujhe mire ishq kī kahānī
magar hai ik ḳhauf sā fazā meñ
hai ek larzish sī is havā meñ
sitāre ab TimTimā rahe haiñ
ḳhizāñ ke āsār chhā rahe haiñ
mujhe ye mahsūs ho rahā hai
ki ab sitāroñ kā vaqt biitā
bas ab to aa.egā din kā chītā
ab āsmān ke nukīle jugnū
ye dast-e-anjum ke pyāre aahū
sahar ke parde meñ jā chhupeñge
laraz laraz kar damak rahe hain
magar jab aaega din ka chita
aur un sitaron ka waqt bita
to aasman ke nukile jugnu
banenge pal mein Dhalakte aansu
sahar ke parde mein ja chhupenge
main aur tu aaj hain ikaTThe
suna rahi hai teri jawani
mujhe mere ishq ki kahani
magar hai ek KHauf sa faza mein
hai ek larzish si is hawa mein
sitare ab TimTima rahe hain
KHizan ke aasar chha rahe hain
mujhe ye mahsus ho raha hai
ki ab sitaron ka waqt bita
bas ab to aaega din ka chita
ab aasman ke nukile jugnu
ye dast-e-anjum ke pyare aahu
sahar ke parde mein ja chhupenge
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 20)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.