kaisa abr hai jis ke barasne ki
kaisā abr hai jis ke barasne kī
har pal ummīd liye
āñkheñ tishna-lab rahtī haiñ
is ko dekh ke
ye kisht-e-bārānī bhartī hai
ye janmoñ kī pyaas ho jaise is miTTī kī
ek ik buuñd utartī mujh se bāteñ kartī hai
pahle maiñ bārish ko dekh ke ḳhush hotī thī
ab maiñ is meñ bhiig ke is kī bāteñ suntī huuñ
kaisa abr hai jis ke barasne ki
har pal ummid liye
aankhen tishna-lab rahti hain
is ko dekh ke
ye kisht-e-barani bharti hai
ye janmon ki pyas ho jaise is miTTi ki
ek ek bund utarti mujh se baaten karti hai
pahle main barish ko dekh ke KHush hoti thi
ab main is mein bhig ke is ki baaten sunti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.