kaise mile KHuda se jo KHud se mila nahin
DhūñDhegā kyā use jise apnā patā nahīñ
kaise mile ḳhudā se jo ḳhud se milā nahīñ
kyā hai tū kaun hai tū zarā jaan ai bashar
us kī ḳhabar se pahle kuchh apnī to le ḳhabar
us se ai nā-murād ta.āruf tirā ho kyā
tujh se hī jab ki terā ta.āruf huā nahīñ
kaise mile ḳhudā se jo ḳhud se milā nahīñ
taufīq ik se ik tujhe mālik ne kī atā
hirs-o-havas ke jaal meñ tū hai magar phañsā
tū us kī ne.amatoñ meñ hī khoyā rahā sadā
us kī taraf to dhyān hī terā gayā nahīñ
kaise mile ḳhudā se jo ḳhud se milā nahīñ
DhunDhega kya use jise apna pata nahin
kaise mile KHuda se jo KHud se mila nahin
kya hai tu kaun hai tu zara jaan ai bashar
us ki KHabar se pahle kuchh apni to le KHabar
us se ai na-murad taaruf tera ho kya
tujh se hi jab ki tera taaruf hua nahin
kaise mile KHuda se jo KHud se mila nahin
taufiq ek se ek tujhe malik ne ki ata
hirs-o-hawas ke jal mein tu hai magar phansa
tu us ki neamaton mein hi khoya raha sada
us ki taraf to dhyan hi tera gaya nahin
kaise mile KHuda se jo KHud se mila nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.