kaise Tahalta hai chand
kaise Tahaltā hai chāñd āsmān pe
jaise zabt kī pahlī manzil
āvāz ke alāva bhī insān hai
āñkhoñ ko chhū lene kī qīmat pe udaas mat ho
qabr kī sharm abhī baaqī hai
hañsī hamārī maut kī shahādat hai
lahad meñ paidā hone vaale bachche
hamārī maañ aañkh hai
qabr to miTTī kā makr hai
phir parinde sūraj se pahle kisī kā zikr karte haiñ
āvāz ke alāva bhī insān hai
TuuTe ho
zarā aur lahū añgār karo
ki maiñ ek be-libās aurat huuñ
aur jitnī chāhūñ āñkheñ rakhtī huuñ
maiñ ne āvāz ko tarāshā hai
hai koī merā mujassama banāne vaalā
apnī qismat pe udaas mat ho
maut kī sharm abhī baaqī hai
mujhe chādar dene vaale
tujhe hayā tak dukh lag jaa.eñ
mujhe lafz dene vaale
kaash aurat bhī janāze ko kāñdhā de saktī
har qadam zanjīr ma.alūm ho rahā hai aur merā dil tah kar ke rakh diyā
gayā hai shor mujhe lahūluhān kar rahā hai maiñ
apnī qaid kaaT rahī huuñ aur is qaid meñ kabhī
haath kaaT kar pheñk detī huuñ kabhī
āvāz kaaT kaaT kar pheñk rahī huuñ
merā dil daldal meñ rahne vaalā kiiḌā hai aur maiñ qabr se
dhutkārī huī laash
saḌāñdī hī saḌāñd se merī āñkhoñ kā
zā.iqa bad-rūh ho rahā hai
aur maiñ insān kī pahlī aur āḳhirī ġhalatī par dum hilā.e
bhauñktī jā rahī huuñ
maiñ jab insān thī to chor kī aas tak na thī maiñ
āñkhoñ meñ salīb aur dil meñ apnī laash
liye phirtī huuñ
sachchā.iyoñ ke zahr se marī huuñ
lekin duniyā gorkan ko DhūñDhne ga.ī huī hai
vo mujhe ābād kartā hai aur ābād kahtā hai
maiñ harī-bharī pyaas se zarḳhez ho jaatī huuñ
aur phūloñ ko miTTī meñ dabāne lagtī huuñ
dard mere azhdahe kā naam hai
aur saañp kī bhuuk merā ghar hai
kaise Tahalta hai chand aasman pe
jaise zabt ki pahli manzil
aawaz ke alawa bhi insan hai
aankhon ko chhu lene ki qimat pe udas mat ho
qabr ki sharm abhi baqi hai
hansi hamari maut ki shahadat hai
lahad mein paida hone wale bachche
hamari man aankh hai
qabr to miTTi ka makr hai
phir parinde suraj se pahle kisi ka zikr karte hain
aawaz ke alawa bhi insan hai
TuTe ho
zara aur lahu angar karo
ki main ek be-libas aurat hun
aur jitni chahun aankhen rakhti hun
main ne aawaz ko tarasha hai
hai koi mera mujassama banane wala
apni qismat pe udas mat ho
maut ki sharm abhi baqi hai
mujhe chadar dene wale
tujhe haya tak dukh lag jaen
mujhe lafz dene wale
kash aurat bhi janaze ko kandha de sakti
har qadam zanjir malum ho raha hai aur mera dil tah kar ke rakh diya
gaya hai shor mujhe lahuluhan kar raha hai main
apni qaid kaT rahi hun aur is qaid mein kabhi
hath kaT kar phenk deti hun kabhi
aawaz kaT kaT kar phenk rahi hun
mera dil daldal mein rahne wala kiDa hai aur main qabr se
dhutkari hui lash
saDandi hi saDand se meri aankhon ka
zaiqa bad-ruh ho raha hai
aur main insan ki pahli aur aaKHiri ghalati par dum hilae
bhaunkti ja rahi hun
main jab insan thi to chor ki aas tak na thi main
aankhon mein salib aur dil mein apni lash
liye phirti hun
sachchaiyon ke zahr se mari hun
lekin duniya gorkan ko DhunDhne gai hui hai
wo mujhe aabaad karta hai aur aabaad kahta hai
main hari-bhari pyas se zarKHez ho jati hun
aur phulon ko miTTi mein dabane lagti hun
dard mere azhdahe ka nam hai
aur sanp ki bhuk mera ghar hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 146)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.