kaisi uftad paDi
dekhte dekhte sab dhuñd meñ tahlīl hue
dasht kohsār falak aab nabātāt sabhī
buildingeñ chhoTī-baḌī duur talak phaile ghar
ikkā-dukkā jo kahīñ log nazar aate the
vo bhī mashġhūl the
be-rūh sī sar-garmī meñ
har koī nauha-kunāñ thā ki purānī sadiyāñ
būḌhī tahzīb ko dafnā ke abhī lauTī haiñ
aur ab DhūñDhtī haiñ
an-dekhe khañDar ko shāyad
kaisā gambhīr safar ḳhatm huā āḳhir-e-kār
kaisī uftād paḌī ahl-e-zamīñ aaj ke din
ham ki āġhāz the anjām kī tamsīl hue
dekhte dekhte ham dhuñd meñ tahlīl hue
dekhte dekhte sab dhund mein tahlil hue
dasht kohsar falak aab nabaatat sabhi
buildingen chhoTi-baDi dur talak phaile ghar
ikka-dukka jo kahin log nazar aate the
wo bhi mashghul the
be-ruh si sar-garmi mein
har koi nauha-kunan tha ki purani sadiyan
buDhi tahzib ko dafna ke abhi lauTi hain
aur ab DhunDhti hain
an-dekhe khanDar ko shayad
kaisa gambhir safar KHatm hua aaKHir-e-kar
kaisi uftad paDi ahl-e-zamin aaj ke din
hum ki aaghaz the anjam ki tamsil hue
dekhte dekhte hum dhund mein tahlil hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.