kal aaj aur kal
apne mustaqbil-o-māzī kī faqat soch se tū
are nādān kisī tarah pareshān na ho
haal hī terā vajūd aur terī pūñjī hai
ḳharch kar us ko khule haath pashemān na ho
maanā sunñe meñ sunāne meñ bhalī lagtī haiñ
yā kitāboñ meñ paḌhī jaatī haiñ aisī bāteñ
par haqīqat meñ pare hotī haiñ sachchā.ī se
sirf ik falsafa hī rahtī haiñ aisī bāteñ
apnī ye zindagī jis moḌ pe hai aaj khaḌī
raah us kī the dikhāte vo guzishta lamhe
tajarbe jin se ye jiine kā salīqa sīkho
haiñ tumheñ sauñp ke jaate vo guzishta lamhe
phir bhī kahte ho ki maazī kī siyah-rāt kahīñ
haal kī dhuup sunahrī ko na Dasne paa.e
biitī yādoñ ne bichhā.e haiñ jo kuchh jaal yahāñ
in se bachnā hai tumheñ paaoñ na phañsne paa.e
aur phir rakhe qadam tum ne jo in rāhoñ par
manzileñ in kī isī vaqt kā hai duujā chhor
kal agar ik hai patañg aaj bane us kī Dor
hai asar kal kā vaqt-e-hāl pe aisā pur-zor
phir bhī kahte ho ki bas haal hī kī parvā karo
vaqt-e-ā.inda mahz ḳhvāb huā kartā hai
aaj dariyā hai jo halqe se bahā kartā hai
kal ke is bahr meñ girdāb huā kartā hai
hai haqīqat to yahī kahte ho tum haal jise
kiyā thā kal tak nahīñ ā.inda vaqt kā hī qayās
vaqt ke chalte rahe gar ye salāsil yuuñ hī
oḌh legā vahī kal dekhnā maazī kā libās
apne mustaqbil-o-mazi ki faqat soch se tu
are nadan kisi tarah pareshan na ho
haal hi tera wajud aur teri punji hai
KHarch kar us ko khule hath pasheman na ho
mana sunne mein sunane mein bhali lagti hain
ya kitabon mein paDhi jati hain aisi baaten
par haqiqat mein pare hoti hain sachchai se
sirf ek falsafa hi rahti hain aisi baaten
apni ye zindagi jis moD pe hai aaj khaDi
rah us ki the dikhate wo guzishta lamhe
tajarbe jin se ye jine ka saliqa sikho
hain tumhein saunp ke jate wo guzishta lamhe
phir bhi kahte ho ki mazi ki siyah-raat kahin
haal ki dhup sunahri ko na Dasne pae
biti yaadon ne bichhae hain jo kuchh jal yahan
in se bachna hai tumhein paon na phansne pae
aur phir rakhe qadam tum ne jo in rahon par
manzilen in ki isi waqt ka hai duja chhor
kal agar ek hai patang aaj bane us ki Dor
hai asar kal ka waqt-e-haal pe aisa pur-zor
phir bhi kahte ho ki bas haal hi ki parwa karo
waqt-e-ainda mahz KHwab hua karta hai
aaj dariya hai jo halqe se baha karta hai
kal ke is bahr mein girdab hua karta hai
hai haqiqat to yahi kahte ho tum haal jise
kiya tha kal tak nahin aainda waqt ka hi qayas
waqt ke chalte rahe gar ye salasil yun hi
oDh lega wahi kal dekhna mazi ka libas
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.