kal aur aaj
shāḳh par ik peḌ kī
do kabūtar mā.il-e-rāz-o-niyāz
murġh-zāroñ meñ anādil kī chahak
ārizoñ par lāla-zāroñ kī lahak
har galī meñ zulf-e-mushkīñ kī mahak
maañg meñ sindūr kī laalī
hoñT par ḳhandāñ chaman
mai-kade meñ dil ke raqsāñ
ārzūoñ kī dulhan
har qadam par
kahkashāñ hī kahkashāñ
kūcha-o-bāzār meñ
madrasoñ meñ aur miloñ meñ
gaañv meñ aur shahr meñ
har taraf
ziist kī jalvagarī
raushnī hī raushnī
masjidoñ meñ
masnavī-e-maulvī-e-ma.anavī
mahfiloñ meñ
'mīr' o 'ġhālib' kī ġhazal
ma.arkoñ meñ
sho.ala-afshāñ nazarul-e-ātish-bayāñ
radio par
shā.ir-e-mashriq kī nazmeñ
mandiroñ meñ
sūrdās aur aurobindo ke bhajan
shāhrāh-e-vaqt par
zindagī ke sang-e-mīl
thī nigār-e-zīst kal
yuuñ javāñ har-dam ravāñ paiham ravāñ
peḌ nange
shāḳh se laTkā huā
sar kisī ma.asūm kā
aur nīche
jism se chimTā huā
ġhol gidh kā
kūcha-o-bāzār meñ
be-kasī nauhagarī
kār-ḳhānoñ meñ mashīneñ dam-ba-ḳhud
madrasoñ meñ nauha-ḳhvāñ
ilm-o-hikmat ke imaam
campoñ meñ zindagī
ḳhaak barsar naala bar-lab chashm-e-tar
aur saḌkoñ par
dandanātī gāḌiyāñ
jin ke chehre par munaqqash red cross
har taraf
maut kī jalvagarī
tīrgī hī tīrgī
masjidoñ meñ
ḳhuun ke dhabbe numāyāñ jā-ba-jā
mahfiloñ meñ
ḳhāmushī naġhma-sarā
radio ḳhāmosh
television sar-nigūñ
hai nigār-e-zīst aaj
muzmahil dāman-darīda
naqsh-e-ġham nālā-kunāñ
shaKH par ek peD ki
do kabutar mail-e-raaz-o-niyaz
murgh-zaron mein anadil ki chahak
aarizon par lala-zaron ki lahak
har gali mein zulf-e-mushkin ki mahak
mang mein sindur ki lali
honT par KHandan chaman
mai-kade mein dil ke raqsan
aarzuon ki dulhan
har qadam par
kahkashan hi kahkashan
kucha-o-bazar mein
madrason mein aur milon mein
ganw mein aur shahr mein
har taraf
zist ki jalwagari
raushni hi raushni
masjidon mein
masnawi-e-maulwi-e-manawi
mahfilon mein
'mir' o 'ghaalib' ki ghazal
markon mein
shoala-afshan nazarul-e-atish-bayan
radio par
shair-e-mashriq ki nazmen
mandiron mein
surdas aur aurobindo ke bhajan
shahrah-e-waqt par
zindagi ke sang-e-mil
thi nigar-e-zist kal
yun jawan har-dam rawan paiham rawan
peD nange
shaKH se laTka hua
sar kisi masum ka
aur niche
jism se chimTa hua
ghol gidh ka
kucha-o-bazar mein
be-kasi nauhagari
kar-KHanon mein mashinen dam-ba-KHud
madrason mein nauha-KHwan
ilm-o-hikmat ke imam
campon mein zindagi
KHak barsar nala bar-lab chashm-e-tar
aur saDkon par
dandanati gaDiyan
jin ke chehre par munaqqash red cross
har taraf
maut ki jalwagari
tirgi hi tirgi
masjidon mein
KHun ke dhabbe numayan ja-ba-ja
mahfilon mein
KHamushi naghma-sara
radio KHamosh
telewision sar-nigun
hai nigar-e-zist aaj
muzmahil daman-darida
naqsh-e-gham nala-kunan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.