kal aur aaj
vaqt thā jab koī bhī bastā na thā
likhnā paḌhnā tab bhī kuchh sastā na thā
ek taḳhtī thī qalam thā aur davāt
is se zyāda thī kahāñ koī bhī baat
qā.eda ham ko milā paḌhne ko tab
dekhte paḌhte the raTte us ko sab
mil ke sab gintī pahāḌe bolte
baat karne se hī pahle tolte
tab kahāñ gintī kā ham ko gyaan thā
paḌhnā likhnā kis qadar āsān thā
pāñchvīñ tak chañd kitābeñ thiiñ huzūr
ham chale jaate uThā kar duur duur
aaj pahlī dūsrī ho nursery
ye kitābeñ ham pe kartīñ ghuḌ-chaḌhī
bojh se dabte chale jaate haiñ ham
hai ye mumkin in se nikle apnā dam
koī batlā.e ki shikshā hai kahīñ
sach to ye hai ki batā sakte nahīñ
ghar pe ye maañ baap par ik qarz hai
bachche ghar se paḌh ke jaa.eñ farz hai
kaash koī is taraf bhī dekh le
tab kahīñ shikshā na.ī ham ko bhī de
waqt tha jab koi bhi basta na tha
likhna paDhna tab bhi kuchh sasta na tha
ek taKHti thi qalam tha aur dawat
is se zyaada thi kahan koi bhi baat
qaeda hum ko mila paDhne ko tab
dekhte paDhte the raTte us ko sab
mil ke sab ginti pahaDe bolte
baat karne se hi pahle tolte
tab kahan ginti ka hum ko gyan tha
paDhna likhna kis qadar aasan tha
panchwin tak chand kitaben thin huzur
hum chale jate uTha kar dur dur
aaj pahli dusri ho nursery
ye kitaben hum pe kartin ghuD-chaDhi
bojh se dabte chale jate hain hum
hai ye mumkin in se nikle apna dam
koi batlae ki shiksha hai kahin
sach to ye hai ki bata sakte nahin
ghar pe ye man bap par ek qarz hai
bachche ghar se paDh ke jaen farz hai
kash koi is taraf bhi dekh le
tab kahin shiksha nai hum ko bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.