kal hai tumhaara
nanhe-munne ma.asūm bachcho
aane vaale kal ko sañvāro
jo kuchh is duniyā se paayā tum ne
us se achchhā de kar jaao
nanhe-munne ma.asūm bachcho
dhyān lagāo likhne paḌhne meñ
paḌh likh kar achchhe sachche bachcho
apne kal ko sañvāro
aaj agar añdhiyārā hai
is se mat ghabrānā tum
aane vaale kal ke liye
kuchh kaam nayā kar jaanā tum
phuul khilāo dāman ke har-sū
ḳhushbū bikhero pyaar kī har-sū
nanhe-munne ma.asūm bachcho
aane vaale kal ko sañvāro
duniyā har ek moḌ pe
imtihāñ legī tum se
duniyā tum ko sab kuchh degī
dhan daulat shohrat degī
aur agar kamzor hue tum
sab kuchh tum se chhīn bhī legī
kamzoroñ ke tum kaam bhī aanā
zālim se lekin Dar mat jaanā
haq ke liye tum jiinā sīkho
haq ke liye tum mar bhī jaanā
aisā ek tum basta banāo
sab dharmoñ kī kitābeñ jis meñ sajāo
raam ko samjho paiġhambar ko maano
sab dharmoñ ko apnā jaano
ye dhartī jo tum ne paa.ī
ye dhartī hai amn kī dhartī
baapū kī aur nehru kī dhartī
krishn kī aur sūfiyoñ kī dhartī
nanhe-munne ma.asūm bachchoñ
is dhartī ko svarg banāo
aaj yahāñ gar hai añdherā
kal jag meñ ujyārā hogā
aane vaalā kal hai tumhārā
aane vaale kal ko sañvāro
nanhe-munne masum bachcho
aane wale kal ko sanwaro
jo kuchh is duniya se paya tum ne
us se achchha de kar jao
nanhe-munne masum bachcho
dhyan lagao likhne paDhne mein
paDh likh kar achchhe sachche bachcho
apne kal ko sanwaro
aaj agar andhiyara hai
is se mat ghabrana tum
aane wale kal ke liye
kuchh kaam naya kar jaana tum
phul khilao daman ke har-su
KHushbu bikhero pyar ki har-su
nanhe-munne masum bachcho
aane wale kal ko sanwaro
duniya har ek moD pe
imtihan legi tum se
duniya tum ko sab kuchh degi
dhan daulat shohrat degi
aur agar kamzor hue tum
sab kuchh tum se chhin bhi legi
kamzoron ke tum kaam bhi aana
zalim se lekin Dar mat jaana
haq ke liye tum jina sikho
haq ke liye tum mar bhi jaana
aisa ek tum basta banao
sab dharmon ki kitaben jis mein sajao
ram ko samjho paighambar ko mano
sab dharmon ko apna jaano
ye dharti jo tum ne pai
ye dharti hai amn ki dharti
bapu ki aur nehru ki dharti
krishn ki aur sufiyon ki dharti
nanhe-munne masum bachchon
is dharti ko swarg banao
aaj yahan gar hai andhera
kal jag mein ujyara hoga
aane wala kal hai tumhaara
aane wale kal ko sanwaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.