kal hi ki baat nahin hoti
dahlīz par jo ḳhvāb TuuTā hai
vo kal kā to nahīñ thā
vo to na-jāne kitne sāloñ se
nāniyoñ dādiyoñ ne alhaḌ āñkhoñ meñ jagā rakkhā thā
ye jo dīvār par lagī tasvīr achānak dhaḌām se nīche gir ga.ī hai
ye kal hī to nahīñ Tāñgī ga.ī thī
ye to us ā.īne meñ sāloñ se nazar aa rahī thī jo laḌkiyāñ takiye ke nīche
is ummīd par rakh kar sotī thiiñ ki
is raat ke ḳhvāb meñ un ke dūlhā kī shabīh ubhregī
ye jo tasvīr gir kar TuuT ga.ī hai ye sadiyoñ kī shabīh ko bhī toḌ ga.ī hai
ye jo kal dekhte hī dekhte āsmān par ek bādal kā rañg kaalā siyāh paḌ gayā thā
ye bādal sirf kal hī to nahīñ āsmān par aayā thā
ye collage ke āsmān par niile rañg meñ na-jāne kitne sāloñ se rukā huā thā
ye jo kal mohabbat aur e'timād kī tahrīr dekhte hī dekhte kāġhaz se ġhā.eb ho ga.ī
vo sirf kal hī to nahīñ likhī ga.ī thī
na-jāne kab se mohabbat kī kahāniyāñ likhne vaale use safhāt par utaar rahe the
kal jo mere darvāze ke sāmne khaḌī saḌak yakāyak kahīñ aur muḌ ga.ī
aur phir nazroñ se ojhal ho ga.ī ye sāneha sirf kal kā to nahīñ
us saḌak ne to sāloñ se rāsta badalne aur ġhā.eb hone kī Thaan rakhī thī
ḳhvāb tasvīr tahrīr bādal aur saḌak un ke TūTne aur badalne kī baat
kal hī kī baat nahīñ hotī
dahliz par jo KHwab TuTa hai
wo kal ka to nahin tha
wo to na-jaane kitne salon se
naniyon dadiyon ne alhaD aankhon mein jaga rakkha tha
ye jo diwar par lagi taswir achanak dhaDam se niche gir gai hai
ye kal hi to nahin Tangi gai thi
ye to us aaine mein salon se nazar aa rahi thi jo laDkiyan takiye ke niche
is ummid par rakh kar soti thin ki
is raat ke KHwab mein un ke dulha ki shabih ubhregi
ye jo taswir gir kar TuT gai hai ye sadiyon ki shabih ko bhi toD gai hai
ye jo kal dekhte hi dekhte aasman par ek baadal ka rang kala siyah paD gaya tha
ye baadal sirf kal hi to nahin aasman par aaya tha
ye collage ke aasman par nile rang mein na-jaane kitne salon se ruka hua tha
ye jo kal mohabbat aur e'timad ki tahrir dekhte hi dekhte kaghaz se ghaeb ho gai
wo sirf kal hi to nahin likhi gai thi
na-jaane kab se mohabbat ki kahaniyan likhne wale use safhat par utar rahe the
kal jo mere darwaze ke samne khaDi saDak yakayak kahin aur muD gai
aur phir nazron se ojhal ho gai ye saneha sirf kal ka to nahin
us saDak ne to salon se rasta badalne aur ghaeb hone ki Than rakhi thi
KHwab taswir tahrir baadal aur saDak un ke TuTne aur badalne ki baat
kal hi ki baat nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.