kal jo guzar gaya
kal jo guzar gayā
ek ḳhvāb thā ḳhvāb jo TuuT gayā
ā.īne kī tarah
aur TuuTe ā.īne kī kirchiyāñ sameTnā hāthoñ ko lahūluhān kar degā
kal aane vaalā
abr kā ek paara hai
jo tumhārī zamīnoñ par barse baġhair bhī guzar saktā hai
vo tumhārī mauhūm ummīdoñ kā saaya hai
aur saaya kab kis kā ho paayā hai
tum saa.e ko pakaḌne kī koshish mat karo
ki mub.ham ummīdoñ kī nā-puḳhta shāḳheñ
ḳhushī se phuul nahīñ khilā saktīñ
aaj
aaj tumhārā apnā hai
tumhārī muTThī ke sikke kī tarah
aaj ke paudoñ par khilne vaale phūloñ ko chun lo
is se pahle
ki vo murjhā jaa.eñ
kal jo guzar gaya
ek KHwab tha KHwab jo TuT gaya
aaine ki tarah
aur TuTe aaine ki kirchiyan sameTna hathon ko lahuluhan kar dega
kal aane wala
abr ka ek para hai
jo tumhaari zaminon par barse baghair bhi guzar sakta hai
wo tumhaari mauhum ummidon ka saya hai
aur saya kab kis ka ho paya hai
tum sae ko pakaDne ki koshish mat karo
ki mubham ummidon ki na-puKHta shaKHen
KHushi se phul nahin khila saktin
aaj
aaj tumhaara apna hai
tumhaari muTThi ke sikke ki tarah
aaj ke paudon par khilne wale phulon ko chun lo
is se pahle
ki wo murjha jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.