kal kya hoga
kal kyā hogā
aañkh khulī to kal kyā hogā
ḳhvāb ko vāpas niiñd meñ rakh kar
niiñd ko chhoḌ ke bistar maiñ
jab bistar ko tum chhoḌoge
to duniyā hogī
sub.h kī duniyā
kaan azaañ se bharne vaalī
piir dharoge dhartī par to
arsh ko sar pe dharne vaalī
sar se arsh Dhalakte lamhe ghar aa.e to
darvāze par duniyā hogī
raat kī duniyā
aañkh meñ niiñd aur niiñd ko ḳhvāb se bhar saktī hai
is ma.amūl se haT kar duniyā aur amal kyā kar saktī hai
hairat hī uktā jaa.e to koī muamma hal kyā hogā
ḳhvāb meñ ab ke aañkh khulī to ġhaur se taknā
kal jab tum ne aañkh na kholī kal kyā hogā
kal kya hoga
aankh khuli to kal kya hoga
KHwab ko wapas nind mein rakh kar
nind ko chhoD ke bistar main
jab bistar ko tum chhoDoge
to duniya hogi
subh ki duniya
kan azan se bharne wali
pir dharoge dharti par to
arsh ko sar pe dharne wali
sar se arsh Dhalakte lamhe ghar aae to
darwaze par duniya hogi
raat ki duniya
aankh mein nind aur nind ko KHwab se bhar sakti hai
is mamul se haT kar duniya aur amal kya kar sakti hai
hairat hi ukta jae to koi muamma hal kya hoga
KHwab mein ab ke aankh khuli to ghaur se takna
kal jab tum ne aankh na kholi kal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.