kal raat Dhale
kal raat Dhale ye sochā maiñ ne
maiñ apne ḳhazāne saaf kar luuñ
kis kis kā hai qarz mujh pe vājib
is kā bhī zarā hisāb kar luuñ
almārī kī chābī kho ga.ī thī
vo zañg bharī purānī chābī
maiñ ne use kone kone DhūñDā
mujh ko to nahīñ milī kahīñ bhī
maiñ ne jo nazar uThā ke dekhā
almārī to band hī nahīñ thī
miTTī kī tahoñ meñ lipTe jaale
ik ḳhaak kā Dher lag rahe the
vo saarī nishāniyāñ hamārī
vo saarī kahāniyāñ hamārī
sho.ale kī tarah bhaḌakne vaalī
dhaḌkan kī tarah dhaḌakne vaalī
ārām kī niiñd so rahī thiiñ
un meñ koī raushnī nahīñ thī
un meñ kahīñ zindagī nahīñ thī
kal raat Dhale ye socha main ne
main apne KHazane saf kar lun
kis kis ka hai qarz mujh pe wajib
is ka bhi zara hisab kar lun
almari ki chabi kho gai thi
wo zang bhari purani chabi
main ne use kone kone DhunDa
mujh ko to nahin mili kahin bhi
main ne jo nazar uTha ke dekha
almari to band hi nahin thi
miTTi ki tahon mein lipTe jale
ek KHak ka Dher lag rahe the
wo sari nishaniyan hamari
wo sari kahaniyan hamari
shoale ki tarah bhaDakne wali
dhaDkan ki tarah dhaDakne wali
aaram ki nind so rahi thin
un mein koi raushni nahin thi
un mein kahin zindagi nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.