kal walon ke liye
hameñ un se milnā hai
jo kal ke haiñ
hamāre paas vo kal haiñ
aur un ke darmiyān hai
ma.adūm ek aaj
jis kā raqbā ek sifr par muhīt hai
is sifr meñ hai ek duniyā
jo kal se aa.ī hai
aur kal kī taraf jā rahī hai
ham is kal par ek qālīn bichhāte
jo jahannam meñ chalne kā mashvara detī hai
maiñ us se pūchhtā huuñ
kyā us ne visa lagvā liyā hai
merā passport re-new hone gayā hai
agar mere paas
hukkām kī jadīd kanīzoñ ke liye
nā-munāsib na samjhe jaane vaale tohfe hue
to maiñ passport ke baġhair bhī
is ke saath jaane ke liye
kashtī meñ savār kar diyā gayā
aur kashtī par paanī kā kyā udhār hai
ye to maiñ bhī nahīñ jāntā
hamein un se milna hai
jo kal ke hain
hamare pas wo kal hain
aur un ke darmiyan hai
madum ek aaj
jis ka raqba ek sifr par muhit hai
is sifr mein hai ek duniya
jo kal se aai hai
aur kal ki taraf ja rahi hai
hum is kal par ek qalin bichhate
jo jahannam mein chalne ka mashwara deti hai
main us se puchhta hun
kya us ne wisa lagwa liya hai
mera passport re-new hone gaya hai
agar mere pas
hukkaam ki jadid kanizon ke liye
na-munasib na samjhe jaane wale tohfe hue
to main passport ke baghair bhi
is ke sath jaane ke liye
kashti mein sawar kar diya gaya
aur kashti par pani ka kya udhaar hai
ye to main bhi nahin jaanta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.