kalid-e-nishat
gosha-nashīnī ke chilloñ se parhez
phīke zamāne kī tasbīh ke tai-shuda sab vazīfoñ se be-lazzatī
kār-e-duniyā kī be-rañg qaus-e-quzah
hāñptī zindagī ke vahī rāt-din
maiñ ne daftar se kuchh roz vaqfa kyā
aur jañgal kī jānib kā rasta liyā
maiñ tujhe TuuT ke dekhtā huuñ ḳhudā-e-zaman
jhūmtī shāḳh pe phuul khilne kī rañgīniyāñ
peḌ kī Tahniyoñ pe falak se utartī huiiñ bārisheñ
aur bhīge hue jānvar
be-tahāshā parinde jo ġhote lagā.eñ khule āsmāñ meñ
tū jhīloñ kī sab machhliyāñ tairtī haiñ khaḌe pāniyoñ meñ
mire gaañv ke khet meñ shārikeñ baaġh meñ koyaleñ
ġhaar kī tīrgī meñ basere haiñ chamgādaḌoñ ke
hiran bad-havāsī meñ jīvan kī ḳhvāhish kī ta.abīr haiñ
reg-zāroñ meñ bārish ne sabze ke farshe ko raushan kiyā to ka.ī rañg kī titliyāñ jhāḌiyoñ se numūdār hone lagīñ aur
aabī dhānoñ pe ik dūsre kī zabāñ ko samajhte hue tā.irān-e-falak kā aḳhuvat-bharā silsila
zard miTTī kī dīvār pe reñgtī ye siyah chyūñTiyāñ
nīlgūñ āsmāñ pe muhājir parindoñ kī sab Toliyāñ
aur laavā ugaltī zamīñ pe bhī ḳhema-nashīñ haiñ ka.ī kekḌe
goyā tamsīl kā ik jahāñ pech-dar-pech khultā gayā
merī be-lazzatī kasmasātī huī ḳhaak hone lagī
aise arzañg meñ maiñ to gosha-nashīñ ho gayā
gosha-nashini ke chillon se parhez
phike zamane ki tasbih ke tai-shuda sab wazifon se be-lazzati
kar-e-duniya ki be-rang qaus-e-quzah
hanpti zindagi ke wahi raat-din
main ne daftar se kuchh roz waqfa kya
aur jangal ki jaanib ka rasta liya
main tujhe TuT ke dekhta hun KHuda-e-zaman
jhumti shaKH pe phul khilne ki ranginiyan
peD ki Tahniyon pe falak se utarti huin barishen
aur bhige hue jaanwar
be-tahasha parinde jo ghote lagaen khule aasman mein
tu jhilon ki sab machhliyan tairti hain khaDe paniyon mein
mere ganw ke khet mein shaariken bagh mein koyalen
ghaar ki tirgi mein basere hain chamgadaDon ke
hiran bad-hawasi mein jiwan ki KHwahish ki tabir hain
reg-zaron mein barish ne sabze ke farshe ko raushan kiya to kai rang ki titliyan jhaDiyon se numudar hone lagin aur
aabi dhanon pe ek dusre ki zaban ko samajhte hue tairan-e-falak ka aKHuwat-bhara silsila
zard miTTi ki diwar pe rengti ye siyah chyunTiyan
nilgun aasman pe muhajir parindon ki sab Toliyan
aur lawa ugalti zamin pe bhi KHema-nashin hain kai kekDe
goya tamsil ka ek jahan pech-dar-pech khulta gaya
meri be-lazzati kasmasati hui KHak hone lagi
aise arzang mein main to gosha-nashin ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.