kalid-e-rahmat
taptī huī zamīñ par
allāh kā jo ghar hai
vo markaz-e-nazar hai
ik roz yuuñ huā thā
usmān ibn-e-talha
us ḳhāna-e-ḳhudā meñ
sarkār-e-do-jahāñ ko
jaane se rokte the
ik aisā din bhī aaya
sarkār-e-do-jahāñ jab
makka ko fat.h kar ke ka.abe pahuñch chuke the
dast-e-nabī meñ us dam
ka.abe kī kunjiyāñ thiiñ
usmān ibn-e-talha sharminda sar jhukā.e
hairān se khaḌe the
us roz yuuñ huā thā
us faḳhr-e-do-jahāñ ne
kā'ba kī kunjiyoñ ko
baḳhshā unheñ bulā kar
tapti hui zamin par
allah ka jo ghar hai
wo markaz-e-nazar hai
ek roz yun hua tha
usman ibn-e-talha
us KHana-e-KHuda mein
sarkar-e-do-jahan ko
jaane se rokte the
ek aisa din bhi aaya
sarkar-e-do-jahan jab
makka ko fath kar ke kabe pahunch chuke the
dast-e-nabi mein us dam
kabe ki kunjiyan thin
usman ibn-e-talha sharminda sar jhukae
hairan se khaDe the
us roz yun hua tha
us faKHr-e-do-jahan ne
ka'ba ki kunjiyon ko
baKHsha unhen bula kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.