kaliyan
in nannhī kaliyoñ ko dekho
kaisī ḳhush haiñ
jhuum rahī haiñ
aane vaale kal se be-ḳhabar
garm havā ke jhoñkoñ se
ye kal murjhā.eñgī
vaqt kī taptī aag meñ jal kar
raakh baneñgī
yā phir kaale bhañvre
khilne se pahle hī
in kā ras pī leñge
yā bikhreñgī ravish ravish par
pāmālī se ḳhaak baneñgī
pañkh lageñge uḌ jā.eñgī
ye kaliyāñ bechārī
in kī koī kare rakhvālī
shāyad ye kal
gulshan ko mahkā.eñgī
in nannhi kaliyon ko dekho
kaisi KHush hain
jhum rahi hain
aane wale kal se be-KHabar
garm hawa ke jhonkon se
ye kal murjhaengi
waqt ki tapti aag mein jal kar
rakh banengi
ya phir kale bhanwre
khilne se pahle hi
in ka ras pi lenge
ya bikhrengi rawish rawish par
pamali se KHak banengi
pankh lagenge uD jaengi
ye kaliyan bechaari
in ki koi kare rakhwali
shayad ye kal
gulshan ko mahkaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.