kaliyon ko chaTakte dekha hai
kaliyoñ ko chaTakte dekhā hai
phūloñ ko mahakte dekhā hai
bulbul ko chahakte dekhā hai
koyal ko kūkte dekhā hai
sayyād ke aate hī gulshan meñ
har shai ko sahamte dekhā hai
bijlī ko taḌapte dekhā hai
bādal ko garajte dekhā hai
mausam ko badalte dekhā hai
rañgoñ ko pighalte dekhā hai
in mauqa-parastoñ kī mahfil meñ
sāzoñ ko badalte dekhā hai
chehroñ ko palaTte dekhā hai
nazroñ ko jhijhakte dekhā hai
va.adoñ ko mukarte dekhā hai
apnoñ ko badalte dekhā hai
is makr-o-fareb kī duniyā meñ
rishtoñ ko simaTte dekhā hai
kaliyon ko chaTakte dekha hai
phulon ko mahakte dekha hai
bulbul ko chahakte dekha hai
koyal ko kukte dekha hai
sayyaad ke aate hi gulshan mein
har shai ko sahamte dekha hai
bijli ko taDapte dekha hai
baadal ko garajte dekha hai
mausam ko badalte dekha hai
rangon ko pighalte dekha hai
in mauqa-paraston ki mahfil mein
sazon ko badalte dekha hai
chehron ko palaTte dekha hai
nazron ko jhijhakte dekha hai
wadon ko mukarte dekha hai
apnon ko badalte dekha hai
is makr-o-fareb ki duniya mein
rishton ko simaTte dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.