kallan
1
kallan kī ḳhud-kalāmī
maiñ byaah rachā.ūñgī
kuchh rūpa.e ho jaa.eñ
maiñ kachrā achchhī tarah saaf kar saktī huuñ
bartan maañj letī huuñ
jhāḌan bhī chalā letī huuñ
mujhe khānā bahut achchhā pakānā aatā hai
maiñ koThiyoñ meñ kaam karūñgī
kuchh rūpa.e ho jaa.eñ to apnā byaah rachā.ūñgī
2
kllan pochhā lagātī hai to piñDliyāñ nañgī ho jaatī haiñ
kabhī chaak sambhāltī hai to dupaTTā gir jaatā hai
sīḌhiyāñ utarne meñ ḳhuub ehtiyāt kartī hai magar chhātiyāñ to chhalaktī haiñ
pochhā lagāne meñ ḳhuub zor lagtā hai lekin kūlhe haiñ ki bhārī hote jaate haiñ
3
kallan kā apne bikhre hue bāloñ se kalām
ye cockroach gandagī ko kyuuñ pasand karte haiñ
maiñ ne use rokne ke bahut jatan kiye
magar vo naalī meñ utar gayā
aur kuchh der ba.ad mujh se duur baiTh kar apne hasse chāTne lagā
4
ab kallan daaj ḳhuub banā saktī hai
lekin use suhāg raat kā intizār nahīñ
1
kallan ki KHud-kalami
main byah rachaungi
kuchh rupae ho jaen
main kachra achchhi tarah saf kar sakti hun
bartan manj leti hun
jhaDan bhi chala leti hun
mujhe khana bahut achchha pakana aata hai
main koThiyon mein kaam karungi
kuchh rupae ho jaen to apna byah rachaungi
2
kllan pochha lagati hai to pinDliyan nangi ho jati hain
kabhi chaak sambhaalti hai to dupaTTa gir jata hai
siDhiyan utarne mein KHub ehtiyat karti hai magar chhatiyan to chhalakti hain
pochha lagane mein KHub zor lagta hai lekin kulhe hain ki bhaari hote jate hain
3
kallan ka apne bikhre hue baalon se kalam
ye cockroach gandagi ko kyun pasand karte hain
main ne use rokne ke bahut jatan kiye
magar wo nali mein utar gaya
aur kuchh der baad mujh se dur baiTh kar apne hasse chaTne laga
4
ab kallan daj KHub bana sakti hai
lekin use suhag raat ka intizar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.