kam-nigahi
mar ke dekhtā huuñ maiñ
zindagī kī razm-gāh sard aur bujhī huī
jaise ek besvā raat kī thakī huī
ho palañg par udaas nīm-jāñ paḌī huī
koī kashmakash nahīñ koī justujū nahīñ
ab to duur duur tak hashr-e-hāo-hū nahīñ
chār-sū nigāh meñ sūkhe sūkhe jism meñ
maut kī jabīñ pe haiñ yā karīh tevriyāñ
chār-sū nigāh meñ haDDiyoñ ke Dher haiñ
aaj bhī jhalakte haiñ jin se bhuuk ke nishāñ
zindagī girāñ rahī maut rā.egāñ ga.ī
sair ho ke jā rahe haiñ gadhoñ ke kārvāñ
mere ham-safar tamām sādgī shi.ār the
rañj ke shikār the ġham se dil-figār the
phir bhī mutma.in jiye kitne vaz.a-dār the
vo paḌī hai nāzima, vo mirī rafīq-e-kār
vo mirī sharīk-e-ġham ziist kī shaguftagī
sach ki ġham-zada rahī ifāqa-kash rahī magar
bheḌiyoñ ke vāste tar nivāla hī rahī
is kā jism Dhāñp duuñ ki har ik barahnagī
is fareb-zār meñ nā-pasand kī ga.ī
hālat-e-sitam-nasīb dekhtā nahīñ koī
kyuuñ huā koī ġharīb dekhtā nahīñ koī
aur haqā.eq-e-muhīb dekhtā nahīñ koī
baaġh dekhte haiñ sab raag dekhte nahīñ
chāñd dekhte haiñ sab daaġh dekhte nahīñ
mar ke dekhta hun main
zindagi ki razm-gah sard aur bujhi hui
jaise ek beswa raat ki thaki hui
ho palang par udas nim-jaan paDi hui
koi kashmakash nahin koi justuju nahin
ab to dur dur tak hashr-e-hao-hu nahin
chaar-su nigah mein sukhe sukhe jism mein
maut ki jabin pe hain ya karih tewriyan
chaar-su nigah mein haDDiyon ke Dher hain
aaj bhi jhalakte hain jin se bhuk ke nishan
zindagi giran rahi maut raegan gai
sair ho ke ja rahe hain gadhon ke karwan
mere ham-safar tamam sadgi shiar the
ranj ke shikar the gham se dil-figar the
phir bhi mutmain jiye kitne waza-dar the
wo paDi hai nazima, wo meri rafiq-e-kar
wo meri sharik-e-gham zist ki shaguftagi
sach ki gham-zada rahi ifaqa-kash rahi magar
bheDiyon ke waste tar niwala hi rahi
is ka jism Dhanp dun ki har ek barahnagi
is fareb-zar mein na-pasand ki gai
haalat-e-sitam-nasib dekhta nahin koi
kyun hua koi gharib dekhta nahin koi
aur haqaeq-e-muhib dekhta nahin koi
bagh dekhte hain sab rag dekhte nahin
chand dekhte hain sab dagh dekhte nahin
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 315)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.