kanar-e-ab ki ek sham
Interesting Fact
(ایک تاثر)
shafaq kā sonā fazā meñ tahlīl ho rahā hai
sunahre paanī kī silvaTeñ raqs kar rahī haiñ
sipahr-e-maġhrib kī marg-āmāda-o-ġhurūb-āshnā shuā.eñ
ḳhamosh lahroñ se yuuñ ham-āġhosh ho rahī haiñ
ki jaise ḳhvāboñ meñ kho rahī haiñ
shafaq kī lahreñ falak kī tābinda rahguzāroñ ko chūmtī haiñ
sahāb-pāroñ ko chūmtī haiñ
sahāb-pāroñ meñ muñh chhupā.e hue sitāroñ ko chūmtī haiñ
jabīn-e-āb-e-ravāñ pe afshāñ chamak rahī hai
tilism-āgīñ fazā-e-rañgīñ
urūs-e-sho.ala-badan kī larzāñ qabā-e-zarrīñ
qabā-e-zarrīñ kī kasmasātī gudāz lahreñ
ki mahv-e-raqs-o-ġhanā hasīñ larzisheñ badan kī
urūs-e-fitrat ke reshmīñ pairahan kā ye ātishīñ tabassum
ziyā-e-ḳhāmosh ke sukūt-āshnā tarannum meñ ghul rahā hai
ki uqda-e-gesū-e-shab-e-tār khul rahā hai
badan churā.e hue sar-e-rahguzār koī javāñ hasīna
sabā-ḳhirām-o-sabā-qarīna
ḳhamosh kuchh sochtī huī ḳhvāb-gāh-e-ishrat ko jā rahī hai
fazā-e-tārīk chhā rahī hai
shafaq ka sona faza mein tahlil ho raha hai
sunahre pani ki silwaTen raqs kar rahi hain
sipahr-e-maghrib ki marg-amada-o-ghurub-ashna shuaen
KHamosh lahron se yun ham-aghosh ho rahi hain
ki jaise KHwabon mein kho rahi hain
shafaq ki lahren falak ki tabinda rahguzaron ko chumti hain
sahab-paron ko chumti hain
sahab-paron mein munh chhupae hue sitaron ko chumti hain
jabin-e-ab-e-rawan pe afshan chamak rahi hai
tilism-agin faza-e-rangin
urus-e-shoala-badan ki larzan qaba-e-zarrin
qaba-e-zarrin ki kasmasati gudaz lahren
ki mahw-e-raqs-o-ghana hasin larzishen badan ki
urus-e-fitrat ke reshmin pairahan ka ye aatishin tabassum
ziya-e-KHamosh ke sukut-ashna tarannum mein ghul raha hai
ki uqda-e-gesu-e-shab-e-tar khul raha hai
badan churae hue sar-e-rahguzar koi jawan hasina
saba-KHiram-o-saba-qarina
KHamosh kuchh sochti hui KHwab-gah-e-ishrat ko ja rahi hai
faza-e-tarik chha rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.