kangan ki khanak
har qadam yaad tujhe merī bahut aa.egī
tū jahāñ jā.egī hamrāh mujhe pā.egī
tere ruḳhsār kī rañgat tire māthe kī chamak
mujh se qaa.em hai tire haath ke kañgan kī khanak
terī har saañs se vābasta haiñ sāñseñ merī
ḳhvāb tere haiñ sabhī aur haiñ āñkheñ merī
phir batā kaise judā mujh se tū ho jā.egī
tū jahāñ jā.egī hamrāh mujhe pā.egī
dil meñ raushan hai tirī yaad charāġhoñ kī tarah
mujh pe taarī hai tirā pyaar ayāġhoñ kī tarah
tū hī kah de ki tujhe dil se bhulā duuñ kaise
maiñ tire naam ko hāthoñ se miTā duuñ kaise
aa bhī jā aur mujhe kitnā tū taḌpā.egī
tū jahāñ jā.egī hamrāh mujhe pā.egī
chhoḌ dene kā kiyā kaise irāda tū ne
jis ko chāhā thā kabhī jaan se ziyādā tū ne
kyā huiiñ qasmeñ tirī aur vo va.ade tere
saath chalne ke hamesha ke irāde tere
mujh ko ma.alūm na thā utnā badal jā.egī
tū jahāñ jā.egī hamrāh mujhe pā.egī
apne va.ade ko vafā kar ke maiñ dikhlā.ūñgā
maiñ agar mar bhī gayā phir bhī tujhe chāhūñgā
tū jahāñ ke kisī goshe meñ rahegī hamdam
ho ke bechain sadā dūñgā tujhe maiñ jis dam
merī āvāz tere kaan se Takrā.egī
tū jahāñ jā.egī hamrāh mujhe pā.egī
jab bhī dekhā tirī sūrat ko hī dekhā maiñ ne
sirf aur sirf tirī kī hai tamanna maiñ ne
maiñ sivā tere kise dekhūñ nigāheñ bhar ke
jo kabhī dekhūñ mirā rab mujhe andhā kar de
dekh ab maan bhī jā varna tū pachhtā.egī
tū jahāñ jā.egī hamrāh mujhe pā.egī
har qadam yaad tujhe meri bahut aaegi
tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi
tere ruKHsar ki rangat tere mathe ki chamak
mujh se qaem hai tere hath ke kangan ki khanak
teri har sans se wabasta hain sansen meri
KHwab tere hain sabhi aur hain aankhen meri
phir bata kaise juda mujh se tu ho jaegi
tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi
dil mein raushan hai teri yaad charaghon ki tarah
mujh pe tari hai tera pyar ayaghon ki tarah
tu hi kah de ki tujhe dil se bhula dun kaise
main tere nam ko hathon se miTa dun kaise
aa bhi ja aur mujhe kitna tu taDpaegi
tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi
chhoD dene ka kiya kaise irada tu ne
jis ko chaha tha kabhi jaan se ziyaada tu ne
kya huin qasmen teri aur wo wade tere
sath chalne ke hamesha ke irade tere
mujh ko malum na tha utna badal jaegi
tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi
apne wade ko wafa kar ke main dikhlaunga
main agar mar bhi gaya phir bhi tujhe chahunga
tu jahan ke kisi goshe mein rahegi hamdam
ho ke bechain sada dunga tujhe main jis dam
meri aawaz tere kan se Takraegi
tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi
jab bhi dekha teri surat ko hi dekha main ne
sirf aur sirf teri ki hai tamanna main ne
main siwa tere kise dekhun nigahen bhar ke
jo kabhi dekhun mera rab mujhe andha kar de
dekh ab man bhi ja warna tu pachhtaegi
tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.