karahte hue dil
maiñ aspatāl ke bistar pe tum se itnī duur
ye sochtā huuñ ki aisī ajiib duniyā meñ
na jaane aaj ke din kyā nahīñ huā hogā
kisī ne baḌh ke sitāre qafas kiye hoñge
kisī ke haat meñ mahtāb aa gayā hogā
jalā.ī hoñgī kisī ke nafas ne qindīleñ
kisī kī bazm meñ ḳhurshīd nāchtā hogā
kisī ko zehn kā chhoTā sā tāziyāna bahut
kisī ko dil kī kashākash kā hausla hogā
na jaane kitne irāde ubhar rahe hoñge
na jaane kitne ḳhayāloñ kā dil baḌhā hogā
tumhārī phuul sī fitrat kī sat.h-e-narm se duur
pahāḌ hoñge samundar kā rāsta hogā
ye ek farz kā māhaul farz kā sañgīt
ye aspatāl ke aañsū ye aspatāl kī riit
mire qarīb bahut se marīz aur bhī haiñ
pukārtī huī āñkheñ karāhte hue dil
bahut aziiz hai in sab ko zindagī apnī
ye apnī ziist kā ehsās kaisī ne.amat hai
magar mujhe yahī uljhan ki zindagī kī ye bhiik
jo mil ga.ī bhī to kitnī zarā sī baat milī
kisī ke haat meñ mahtāb aa gayā bhī to kyā
kisī ke qadmoñ meñ sūraj kā sar jhukā bhī to kyā
huā hī kyā jo ye chhoTī sī kā.enāt milī?
mire vajūd kī gahrī ḳhamosh vīrānī
tumheñ yahāñ ke añdhere kā ilm kyā hogā
tumheñ to sirf muqaddar se chāñd raat milī
main aspatal ke bistar pe tum se itni dur
ye sochta hun ki aisi ajib duniya mein
na jaane aaj ke din kya nahin hua hoga
kisi ne baDh ke sitare qafas kiye honge
kisi ke hat mein mahtab aa gaya hoga
jalai hongi kisi ke nafas ne qindilen
kisi ki bazm mein KHurshid nachta hoga
kisi ko zehn ka chhoTa sa taziyana bahut
kisi ko dil ki kashakash ka hausla hoga
na jaane kitne irade ubhar rahe honge
na jaane kitne KHayalon ka dil baDha hoga
tumhaari phul si fitrat ki sath-e-narm se dur
pahaD honge samundar ka rasta hoga
ye ek farz ka mahaul farz ka sangit
ye aspatal ke aansu ye aspatal ki rit
mere qarib bahut se mariz aur bhi hain
pukarti hui aankhen karahte hue dil
bahut aziz hai in sab ko zindagi apni
ye apni zist ka ehsas kaisi neamat hai
magar mujhe yahi uljhan ki zindagi ki ye bhik
jo mil gai bhi to kitni zara si baat mili
kisi ke hat mein mahtab aa gaya bhi to kya
kisi ke qadmon mein suraj ka sar jhuka bhi to kya
hua hi kya jo ye chhoTi si kaenat mili?
mere wajud ki gahri KHamosh virani
tumhein yahan ke andhere ka ilm kya hoga
tumhein to sirf muqaddar se chand raat mili
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(shahr-e-aazar) (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.